hubb-e-watan
ai vatan ai mire bahisht-e-barīñ
kyā hue tere āsmān zamīñ
raat aur din kā vo samāñ na rahā
vo zamīñ aur vo āsmāñ na rahā
sach batā tū sabhī ko bhātā hai
yā ki mujh se hī terā naatā hai
maiñ hī kartā huuñ tujh pe jān-nisār
yā ki duniyā hai terī āshiq-e-zār
kyā zamāne ko tū aziiz nahīñ
ai vatan tū to aisī chiiz nahīñ
jinn-o-insān kī hayāt hai tū
murġh-o-māhī kī kā.enāt hai tū
hai nabātāt kā numū tujh se
ruukh tujh bin hare nahīñ hote
sab ko hotā hai tujh se nash-o-numā
sab ko bhātī hai terī āb-o-havā
terī ik musht-e-ḳhāk ke badle
luuñ na hargiz agar bahisht mile
jaan jab tak na ho badan se judā
koī dushman na ho vatan se judā
baiThe be-fikr kyā ho ham-vatano
uTTho ahl-e-vatan ke dost bano
tum agar chāhte ho mulk kī ḳhair
na kisī ham-vatan ko samjho ġhair
hoñ musalmān is meñ yā hindū
bodh maz.hab ho yā ki ho brahamū
sab ko mīThī nigāh se dekho
samjho āñkhoñ kī putliyāñ sab ko
mulk haiñ ittifāq se āzād
shahr haiñ ittifāq se ābād
hind meñ ittifāq hotā agar
khāte ġhairoñ kī Thokareñ kyūñkar
qaum jab ittifāq kho baiThī
apnī pūñjī se haath dho baiThī
ek kā ek ho gayā bad-ḳhvāh
lagī ġhairoñ kī tum pe paḌne nigāh
phir ga.e bhā.iyoñ se jab bhaa.ī
jo na aanī thī vo balā aa.ī
paañv iqbāl ke ukhaḌne lage
mulk par sab ke haath paḌne lage
kabhī tūrāniyoñ ne ghar luuTā
kabhī durrāniyoñ ne zar luuTā
kabhī nādir ne qatl-e-ām kiyā
kabhī mahmūd ne ġhulām kiyā
sab se āḳhir ko le ga.ī baazī
ek shā.ista qaum maġhrib kī
mulk rauñde ga.e haiñ pairoñ se
chain kis ko milā hī ġhairoñ se
chhoḌo afsurdagī ko josh meñ aao
bas bahut so.e uTTho hosh meñ aao
qāfile tum se baḌh ga.e kosoñ
rahe jaate ho sab se pīchhe kyuuñ
qāfiloñ se agar milā chāho
mulk aur qaum kā bhalā chāho
gar rahā chāhte ho izzat se
bhā.iyoñ ko nikālo zillat se
qaum kā mubtazil hai jo insāñ
be-haqīqat hai garche hai sultāñ
qaum duniyā meñ jis kī hai mumtāz
ho faqīrī meñ bhī vo bā-e.azāz
izzat-e-qaum chāhte ho agar
jā ke phailāo in meñ ilm-o-hunar
zaat kā faḳhr aur nasab kā ġhurūr
uTh ga.e ab jahāñ se ye dastūr
ab na sayyad kā iftiḳhār sahīh
na barahman ko shudr par tarjīh
qaum kī izzat ab hunar se hai
ilm se yā ki sīm-o-zar se hai
koī din meñ vo daur aa.egā
be-hunar bhiik tak na pā.egā
na raheñge sadā yahī din-rāt
yaad rakhnā hamārī aaj kī baat
gar nahīñ sunte qaul 'hālī' kā
phir na kahnā ki koī kahtā thā
ai watan ai mere bahisht-e-barin
kya hue tere aasman zamin
raat aur din ka wo saman na raha
wo zamin aur wo aasman na raha
sach bata tu sabhi ko bhata hai
ya ki mujh se hi tera nata hai
main hi karta hun tujh pe jaan-nisar
ya ki duniya hai teri aashiq-e-zar
kya zamane ko tu aziz nahin
ai watan tu to aisi chiz nahin
jinn-o-insan ki hayat hai tu
murgh-o-mahi ki kaenat hai tu
hai nabaatat ka numu tujh se
rukh tujh bin hare nahin hote
sab ko hota hai tujh se nash-o-numa
sab ko bhati hai teri aab-o-hawa
teri ek musht-e-KHak ke badle
lun na hargiz agar bahisht mile
jaan jab tak na ho badan se juda
koi dushman na ho watan se juda
baiThe be-fikr kya ho ham-watano
uTTho ahl-e-watan ke dost bano
tum agar chahte ho mulk ki KHair
na kisi ham-watan ko samjho ghair
hon musalman is mein ya hindu
bodh mazhab ho ya ki ho brahamu
sab ko miThi nigah se dekho
samjho aankhon ki putliyan sab ko
mulk hain ittifaq se aazad
shahr hain ittifaq se aabaad
hind mein ittifaq hota agar
khate ghairon ki Thokaren kyunkar
qaum jab ittifaq kho baiThi
apni punji se hath dho baiThi
ek ka ek ho gaya bad-KHwah
lagi ghairon ki tum pe paDne nigah
phir gae bhaiyon se jab bhai
jo na aani thi wo bala aai
panw iqbaal ke ukhaDne lage
mulk par sab ke hath paDne lage
kabhi turaniyon ne ghar luTa
kabhi durraniyon ne zar luTa
kabhi nadir ne qatl-e-am kiya
kabhi mahmud ne ghulam kiya
sab se aaKHir ko le gai bazi
ek shaista qaum maghrib ki
mulk raunde gae hain pairon se
chain kis ko mila hi ghairon se
chhoDo afsurdagi ko josh mein aao
bas bahut soe uTTho hosh mein aao
qafile tum se baDh gae koson
rahe jate ho sab se pichhe kyun
qafilon se agar mila chaho
mulk aur qaum ka bhala chaho
gar raha chahte ho izzat se
bhaiyon ko nikalo zillat se
qaum ka mubtazil hai jo insan
be-haqiqat hai garche hai sultan
qaum duniya mein jis ki hai mumtaz
ho faqiri mein bhi wo ba-eazaz
izzat-e-qaum chahte ho agar
ja ke phailao in mein ilm-o-hunar
zat ka faKHr aur nasab ka ghurur
uTh gae ab jahan se ye dastur
ab na sayyad ka iftiKHar sahih
na barahman ko shudr par tarjih
qaum ki izzat ab hunar se hai
ilm se ya ki sim-o-zar se hai
koi din mein wo daur aaega
be-hunar bhik tak na paega
na rahenge sada yahi din-raat
yaad rakhna hamari aaj ki baat
gar nahin sunte qaul 'haali' ka
phir na kahna ki koi kahta tha
- Nawa-e-Azadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.