restaurant
restaurant meñ saje hue haiñ kaise kaise chehre
qabroñ ke katboñ par jaise masle masle sehre
ik sāhib jo soch rahe haiñ pichhle ek pahar se
yuuñ lagte haiñ jaise bachcha ruuTh aayā ho ghar se
kaafī kī pyālī ko laboñ tak laa.eñ to kaise laa.eñ
baire tak se aañkh milā kar baat jo na kar paa.eñ
kitnī sanjīda baiThī hai ye ahbāb kī Tolī
kitne auj-e-balāġhat par hai ḳhāmoshī kī bolī
saarī quvvat chuus chukī din bhar kī shahr-navardī
māthoñ meñ se jhāñk rahī hai martī dhuup kī zardī
lambī lambī palkeñ jhapke ik sharmīlī bī-bī
bāloñ kī tartīb se jhalke zehn kī be-tartībī
shauhar ko dekhe to lajā.e laaj ko oT banā.e
har aane vaale par ik bharpūr nazar dauḌāye
ik laḌkī aur tiin javān aa.e haiñ kase-kasā.e
sāñvle ruup ko gore mulkoñ kā bahrūp banā.e
bātoñ meñ naḳhvat bāġhoñ kī vahshat sahrāoñ kī
āñkhoñ ke chūlhoñ meñ bharī hai raakh tamannāoñ kī
apnī apnī uljhan sab kī apnī apnī raa.e
sab ne aañsū rok rakhe haiñ kaun kise bahlā.e
har shai par shak ho to jiinā ek sazā ban jaa.e
mehvar hī maujūd na ho to gardish kis kaam aa.e
qahqahe jaise ḳhālī bartan luḌhak luḌhak kar TūTeñ
bahseñ jaise hoñToñ meñ se ḳhuun ke chhīñTe chhūTeñ
husn kā zikr kareñ yuuñ jaise āñdhī phuul khilā.e
fan kī baat kareñ yuuñ jaise baniyā sher sunā.e
sukḌī simTī rūheñ lekin jism haiñ dohre tihre
restaurant meñ saje hue haiñ kaise kaise chehre
restaurant mein saje hue hain kaise kaise chehre
qabron ke katbon par jaise masle masle sehre
ek sahib jo soch rahe hain pichhle ek pahar se
yun lagte hain jaise bachcha ruTh aaya ho ghar se
kafi ki pyali ko labon tak laen to kaise laen
baire tak se aankh mila kar baat jo na kar paen
kitni sanjida baiThi hai ye ahbab ki Toli
kitne auj-e-balaghat par hai KHamoshi ki boli
sari quwwat chus chuki din bhar ki shahr-nawardi
mathon mein se jhank rahi hai marti dhup ki zardi
lambi lambi palken jhapke ek sharmili bi-bi
baalon ki tartib se jhalke zehn ki be-tartibi
shauhar ko dekhe to lajae laj ko oT banae
har aane wale par ek bharpur nazar dauDaye
ek laDki aur tin jawan aae hain kase-kasae
sanwle rup ko gore mulkon ka bahrup banae
baaton mein naKHwat baghon ki wahshat sahraon ki
aankhon ke chulhon mein bhari hai rakh tamannaon ki
apni apni uljhan sab ki apni apni rae
sab ne aansu rok rakhe hain kaun kise bahlae
har shai par shak ho to jina ek saza ban jae
mehwar hi maujud na ho to gardish kis kaam aae
qahqahe jaise KHali bartan luDhak luDhak kar TuTen
bahsen jaise honTon mein se KHun ke chhinTe chhuTen
husn ka zikr karen yun jaise aandhi phul khilae
fan ki baat karen yun jaise baniya sher sunae
sukDi simTi ruhen lekin jism hain dohre tihre
restaurant mein saje hue hain kaise kaise chehre
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 91)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.