ret aaina hai
qais āsūda-e-naqsh raqs-e-ravāñ
hairat-e-chashm pārīna hai
ret ā.īna hai
aur zañgār-e-ā.īna har ālam-e-chaub-o-abresham-o-ḳhāk-dāñ
ret ā.īna hai
jab manāroñ meñ ghanTī bajī
vo achānak muḌī kal yahāñ koī thā
vo gajar dam uThī
us ne añgḌā.ī lī kal yahāñ koī thā
saañp lahrātī saḌkoñ pe chalte hue vo rukī
kal yahāñ koī thā
kal yahāñ kaun thā
qais āsūda-e-naqsh raqs-e-ravāñ
kaun sūraj ko añgār-zādoñ ke ghar le gayā
kal yahāñ bin murādoñ kī bārish kā pahlā phuvārā paḌā
qais āgāh-e-dād-o-rasad
qais be-kīn-o-kad
ret ā.īna hai aur zañgār-e-ā.īna har ālam-e-chaub-o-abresham-o-ḳhāk-dāñ
ḳhauf ik sāya-e-sā.ibāñ
saare ghar band haiñ
saare ghar band haiñ aur darīchoñ pe baiThī huī laḌkiyāñ mujh pe hañsne lagīñ
niiñd ik chāñdnī
niiñd patthar pe phailī huī chāñdnī
kaun patthar pe chaltā rahe aur sambhaltā rahe
kaun sotā rahe
ret ā.īna hai
qais āsūda-e-naqsh raqs-e-ravāñ
hairat-e-chashm pārīna hai
ret ā.īna hai
qais aasuda-e-naqsh raqs-e-rawan
hairat-e-chashm parina hai
ret aaina hai
aur zangar-e-aina har aalam-e-chaub-o-abresham-o-KHak-dan
ret aaina hai
jab manaron mein ghanTi baji
wo achanak muDi kal yahan koi tha
wo gajar dam uThi
us ne angDai li kal yahan koi tha
sanp lahraati saDkon pe chalte hue wo ruki
kal yahan koi tha
kal yahan kaun tha
qais aasuda-e-naqsh raqs-e-rawan
kaun suraj ko angar-zadon ke ghar le gaya
kal yahan bin muradon ki barish ka pahla phuwara paDa
qais aagah-e-dad-o-rasad
qais be-kin-o-kad
ret aaina hai aur zangar-e-aina har aalam-e-chaub-o-abresham-o-KHak-dan
KHauf ek saya-e-saiban
sare ghar band hain
sare ghar band hain aur darichon pe baiThi hui laDkiyan mujh pe hansne lagin
nind ek chandni
nind patthar pe phaili hui chandni
kaun patthar pe chalta rahe aur sambhalta rahe
kaun sota rahe
ret aaina hai
qais aasuda-e-naqsh raqs-e-rawan
hairat-e-chashm parina hai
ret aaina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.