ret
tere ātish-fishānoñ se bahte hue
surḳh-sailāb kī pesh-goī
olympus ke ātish-kade se
sunahrī harārat kī rāhat churā kar
prometheus ke zamīñ par utarne se pahle
bahut pahle tārīḳh ke ġhaar meñ ek
sah-chashme ifrīt ne is kahānī meñ kī thī
jise paḌh ke ḳhud us pe dīvāngī kā vo daura paḌā
ḳhud ko andhā kiyā
phir sunātā rahā dāstāñ andhī tāqat kī
barbādiyoñ par rulātā rahā
aañkh se saat sāgar bahe
ret lekin hamesha kī pyāsī
bujhātī rahī āñsuoñ se mire pyaas kī aag ko
tū nahīñ jāntā ret kī pyaas ko
ret kī bhuuk ko
ret kī bhuuk aisī ki jis meñ samā jaa.eñ
lohā ugalte pahāḌoñ ke sab silsile
pyaas aisī ki jis meñ utar jaa.eñ
saare samundar
tire āñsuoñ ke
magar tere aañsū Tapakne meñ kuchh der hai
der kitnī lagī
hāthiyoñ kī qatāroñ ko
zer-e-zamīñ
tel aur taar bunñe kī mī.ād se ḳhuub vāqif hai tū
tū isī tel kī bū pe pāgal huā
aur dhamaktā dharaptā huā
aa gayā ret ke raaj meñ
vaqt ke aaj meñ
vaqt kā aaj terā hai jis meñ
mirrīḳh o marā.iḳh se aage rasā.ī hai terī
magar ret to par nahīñ tāqat-e-par nahīñ dekhtī
paañv ko taultī hai
kise soltī hai
tere aatish-fishanon se bahte hue
surKH-sailab ki pesh-goi
olympus ke aatish-kade se
sunahri hararat ki rahat chura kar
prometheus ke zamin par utarne se pahle
bahut pahle tariKH ke ghaar mein ek
sah-chashme ifrit ne is kahani mein ki thi
jise paDh ke KHud us pe diwangi ka wo daura paDa
KHud ko andha kiya
phir sunata raha dastan andhi taqat ki
barbaadiyon par rulata raha
aankh se sat sagar bahe
ret lekin hamesha ki pyasi
bujhati rahi aansuon se mere pyas ki aag ko
tu nahin jaanta ret ki pyas ko
ret ki bhuk ko
ret ki bhuk aisi ki jis mein sama jaen
loha ugalte pahaDon ke sab silsile
pyas aisi ki jis mein utar jaen
sare samundar
tere aansuon ke
magar tere aansu Tapakne mein kuchh der hai
der kitni lagi
hathiyon ki qataron ko
zer-e-zamin
tel aur tar bunne ki miad se KHub waqif hai tu
tu isi tel ki bu pe pagal hua
aur dhamakta dharapta hua
aa gaya ret ke raj mein
waqt ke aaj mein
waqt ka aaj tera hai jis mein
mirriKH o maraiKH se aage rasai hai teri
magar ret to par nahin taqat-e-par nahin dekhti
panw ko taulti hai
kise solti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.