ret ghaDi
aaj phir
poTlī khol kar
purānā sāmān
mujhe TaTol rahā hai
bahut bol rahā hai
Dibiya meñ kājal
TuuTī huī paa.el
dupaTTe kā goTā
shīsha ik chhoTā
kuchh duur paḌī hai
ek ret ghaḌī hai
lamhe bahte rahte haiñ
mujh se kahte rahte haiñ
ādatan
tum aaj bhī
masrūf ho
ādatan
maiñ der tak
palaTtā rahūñ
ret ghaḌī
aaj phir
poTli khol kar
purana saman
mujhe TaTol raha hai
bahut bol raha hai
Dibiya mein kajal
TuTi hui pael
dupaTTe ka goTa
shisha ek chhoTa
kuchh dur paDi hai
ek ret ghaDi hai
lamhe bahte rahte hain
mujh se kahte rahte hain
aadatan
tum aaj bhi
masruf ho
aadatan
main der tak
palaTta rahun
ret ghaDi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.