ret ka ghar
aam kā baaġh
ret kā Dher
safed frock
surḳh ribbon
nanhe haath
ret kā ghar
āñdhī kī lahr
aañkh ke taare
zarre kā zahr
aañsū kā tiryāk
phir nayā ghar
duniyā kā baaġh
armāñ ke Dher
lambī zulfeñ
rangīn āñchal
chāhat ke haath
be-ret kā ghar
vaqt kī āñdhī
aañkh ke hiire
an-dekhī gard
aañsū kā dhuāñ
phir nayā ghar
ban na sakā
aam ka bagh
ret ka Dher
safed frock
surKH ribbon
nanhe hath
ret ka ghar
aandhi ki lahr
aankh ke tare
zarre ka zahr
aansu ka tiryak
phir naya ghar
duniya ka bagh
arman ke Dher
lambi zulfen
rangin aanchal
chahat ke hath
be-ret ka ghar
waqt ki aandhi
aankh ke hire
an-dekhi gard
aansu ka dhuan
phir naya ghar
ban na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.