ret ka musafir
ret kā musāfir thā raat kī havelī meñ
sirf raat bhar Thahrā jog le liyā us ne
ret kī hathelī se phuul ret ke chun kar
ḳhvāb kī sahelī se rog le liyā us ne
sirf ek lamhe kī muḳhtasar kahānī ko
ret ke musāfir ne yuuñ amar banā Daalā
kāsa-e-mohabbat meñ le ke bhiik lafzoñ kī
aarzū kī āñkhoñ meñ ashk-e-tar banā Daalā
kaun ab tujhe jaane kaun yaad rakkhegā
vaqt kī uḌānoñ ke kaun āsmānoñ meñ
tū ne rog paalā thā kis tarah guzārā thā
ek pal ke jīvan ko ajnabī makānoñ meñ
aaj apne shā.ir ko ye hameñ batānā hai
tū jo aag meñ jal kar gulsitāñ banātā hai
harf harf chun kar motiyoñ kī laḌiyoñ se
sub.h ke sitāroñ tak sehn-e-dil sajātā hai
jo bhī tū ne likkhā hai sirf terī pūñjī hai
sirf ek lamha hai sirf ek saa.at hai
vaqt ke samundar meñ sirf ik yahī lamha
be-karāñ alāmat hai jazb-e-dil kī chāhat hai
ret ka musafir tha raat ki haweli mein
sirf raat bhar Thahra jog le liya us ne
ret ki hatheli se phul ret ke chun kar
KHwab ki saheli se rog le liya us ne
sirf ek lamhe ki muKHtasar kahani ko
ret ke musafir ne yun amar bana Dala
kasa-e-mohabbat mein le ke bhik lafzon ki
aarzu ki aankhon mein ashk-e-tar bana Dala
kaun ab tujhe jaane kaun yaad rakkhega
waqt ki uDanon ke kaun aasmanon mein
tu ne rog pala tha kis tarah guzara tha
ek pal ke jiwan ko ajnabi makanon mein
aaj apne shair ko ye hamein batana hai
tu jo aag mein jal kar gulsitan banata hai
harf harf chun kar motiyon ki laDiyon se
subh ke sitaron tak sehn-e-dil sajata hai
jo bhi tu ne likkha hai sirf teri punji hai
sirf ek lamha hai sirf ek saat hai
waqt ke samundar mein sirf ek yahi lamha
be-karan alamat hai jazb-e-dil ki chahat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.