ret ka sahra
jab ret kā sahrā dekh ke Dar jaatā hai adiib kā siina bhī
vo lamhe aksar aate haiñ
jab zehn ke saare parde aTke aTke se rah jaate haiñ
jab shor machātī shāḳh-e-zabāñ se saare parinde mar mar ke
gir jaate haiñ
vo lamhe aksar aate haiñ
jab āvāzoñ ke pinjar
apne sūkhe sūkhe haath liye
mere sar pe chhā jaate haiñ
aur maiñ ghabrā sā jaatā huuñ
ik qabristān kī tanhā.ī
ek be-ma.anī ḳhālī rasta
aur do paañv kī ḳhālī ḳhālī thakī sī chaap
to apne aap se bhī Dar jaatā huuñ
jab ret kā sahrā dekh ke Dar jaatā hai qalam kā siina bhī
vo lamhe aksar aate haiñ
jab ret ka sahra dekh ke Dar jata hai adib ka sina bhi
wo lamhe aksar aate hain
jab zehn ke sare parde aTke aTke se rah jate hain
jab shor machati shaKH-e-zaban se sare parinde mar mar ke
gir jate hain
wo lamhe aksar aate hain
jab aawazon ke pinjar
apne sukhe sukhe hath liye
mere sar pe chha jate hain
aur main ghabra sa jata hun
ek qabristan ki tanhai
ek be-mani KHali rasta
aur do panw ki KHali KHali thaki si chap
to apne aap se bhi Dar jata hun
jab ret ka sahra dekh ke Dar jata hai qalam ka sina bhi
wo lamhe aksar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.