ret par lakiren
mire sāmne aa.ina hai ki jis meñ
mujhe apnī sūrat nazar aa rahī hai
maiñ apne hī chehre pe likkhī huī dāstānoñ ko paḌhtā huuñ
aur sochtā huuñ
ki jin ijtimā.ī masā.il ko maiñ ne
nigāhoñ ke phaile hue khanDaroñ meñ
samoyā huā hai
unheñ kaun samjhe
unheñ kaun jaane
mujhe murda nasloñ ke uslūb se haT ke kahne kī pādāsh meñ
is zamāne ne mujrim banāyā
mirī guftugū ko muamma banāyā
mirī zaat meñ dafn hai ik zamāna
use koī merī nigāhoñ se dekhe
mere samne aaina hai ki jis mein
mujhe apni surat nazar aa rahi hai
main apne hi chehre pe likkhi hui dastanon ko paDhta hun
aur sochta hun
ki jin ijtimai masail ko main ne
nigahon ke phaile hue khanDaron mein
samoya hua hai
unhen kaun samjhe
unhen kaun jaane
mujhe murda naslon ke uslub se haT ke kahne ki padash mein
is zamane ne mujrim banaya
meri guftugu ko muamma banaya
meri zat mein dafn hai ek zamana
use koi meri nigahon se dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.