rewaD
shaam kī raakh meñ luthḌī huī Dhalvānoñ par
ek revaḌ ke thake qadmoñ kā maddham āhañg
jis kī har lahar dhuñdlakoñ meñ luḌhak jaatī hai
mast charvāhā charā-gāh kī ik choTī se
jab utartā hai to zaitūn kī lāñbī soñTī
kisī jaltī huī badlī meñ aTak jaatī hai
bakriyāñ dasht kī mahkār meñ gūñdhā huā duudh
chhāgaloñ meñ liye jab raqs-kunāñ aatī haiñ
koī chūḌī ḳham-e-daurāñ pe chhanak jaatī hai
jast bhartī hai kabhī aur kabhī chalte chalte
nāchtī Daar mimakate hue buzġhāloñ kī
har jhukī shāḳh kī chaukhaT pe ThiThuk jaatī hai
saan par laakh chhurī siiḳh pe sad-pāra gosht
phir bhī mad.hosh ġhazāloñ kī ye Tolī hai ki jo
baar baar apne ḳhat-e-rah se bhaTak jaatī hai
shaam kī raakh meñ luthḌī huī Dhalvānoñ par
kheltī hai ġham hastī kī vo shādāñ sī umañg
jis kī rau vaqt kī pahnā.iyoñ tak jaatī hai
sham ki rakh mein luthDi hui Dhalwanon par
ek rewaD ke thake qadmon ka maddham aahang
jis ki har lahar dhundlakon mein luDhak jati hai
mast charwaha chara-gah ki ek choTi se
jab utarta hai to zaitun ki lanbi sonTi
kisi jalti hui badli mein aTak jati hai
bakriyan dasht ki mahkar mein gundha hua dudh
chhagalon mein liye jab raqs-kunan aati hain
koi chuDi KHam-e-dauran pe chhanak jati hai
jast bharti hai kabhi aur kabhi chalte chalte
nachti Dar mimakate hue buzghaalon ki
har jhuki shaKH ki chaukhaT pe ThiThuk jati hai
san par lakh chhuri siKH pe sad-para gosht
phir bhi madhosh ghazalon ki ye Toli hai ki jo
bar bar apne KHat-e-rah se bhaTak jati hai
sham ki rakh mein luthDi hui Dhalwanon par
khelti hai gham hasti ki wo shadan si umang
jis ki rau waqt ki pahnaiyon tak jati hai
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 160)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.