reza-e-wajud
mire vajūd kā makān
ḳhār-dār taar kā hisār jis ke ird-gird
aadmī kā ḳhuun piine vaalī zard jhāḌiyoñ ke ḳhār-dār haat haiñ
mirī zamīñ ke ird-gird
kahkashāñ ke ḳhār-dār dā.eroñ kā raqs hai
zamīñ se āsmān tak
vajūd apne an-ginat havās kā gunāh hai
shu.ūr-o-lams-o-lazzat-o-maqām ke sarāb haiñ
maiñ pūchhtā huuñ sang meñ gudāz pamba DhūñDne se kyā milā
ye zindagī yahī to hai
ki reza reza jam.a kī huī matā-e-zīst ko
havā-e-tund pheñk aa.e dasht-e-be-savād meñ
mirī nazar ke sāmne
na jaane kitne jism the ki TuuT kar bikhar ga.e
maiñ aise haul-nāk tajraboñ ke baa'd baar baar
ḳhud ko yuuñ sañbhāltā huuñ jaise apne haat se
maiñ gir ke TuuT jā.ūñgā
mirā badan aziyyatoñ kā ḳhvān hai
kabhī maiñ barf kī siloñ kī huuñ ġhizā
kabhī maiñ tīrgī kā rizq huuñ
kabhī mire liye hai nok-dār ḳhanjaroñ kā Taḳht-e-ḳhvāb
aur aaj un aziyyatoñ ke darmiyāñ
mirā vajūd jaise mujh ko chhoḌ kar chalā gayā
maiñ barg-e-sabz thā jise
ḳhizāñ kā haat shāḳh-e-tar se toḌ kar chalā gayā
maiñ ek samt falsafe ke an-ginat nikāt kī panāh huuñ
aur ek samt āgahī ke jabr kī karāh huuñ
musābqat ke daur meñ vo sā.ateñ bhī aa ga.iiñ
ki husn aur ishq meñ matā.a aur mushtarī kā ramz jāgne lagā
na ishq itnā be-ḳhabar
na husn itnā mo'atabar
ki be-dalīl qaziya-e-vafā kī daad de sake
ye kā.enāt be-hisī kī ik basīt shakl hai
na zindagī kā kuchh asar
na maut se koī ḳhatar
ab aisī kā.enāt meñ
is ek reza-e-vajūd ke havās kyā kareñ
ab aise sard jism kī barahnagī ko dekh kar
ḳhulūs-o-mehr-o-lutf ke hasīñ libās kyā kareñ
mere wajud ka makan
KHar-dar tar ka hisar jis ke ird-gird
aadmi ka KHun pine wali zard jhaDiyon ke KHar-dar hat hain
meri zamin ke ird-gird
kahkashan ke KHar-dar daeron ka raqs hai
zamin se aasman tak
wajud apne an-ginat hawas ka gunah hai
shuur-o-lams-o-lazzat-o-maqam ke sarab hain
main puchhta hun sang mein gudaz pamba DhunDne se kya mila
ye zindagi yahi to hai
ki reza reza jama ki hui mata-e-zist ko
hawa-e-tund phenk aae dasht-e-be-sawad mein
meri nazar ke samne
na jaane kitne jism the ki TuT kar bikhar gae
main aise haul-nak tajrabon ke ba'd bar bar
KHud ko yun sanbhaalta hun jaise apne hat se
main gir ke TuT jaunga
mera badan aziyyaton ka KHwan hai
kabhi main barf ki silon ki hun ghiza
kabhi main tirgi ka rizq hun
kabhi mere liye hai nok-dar KHanjaron ka TaKHt-e-KHwab
aur aaj un aziyyaton ke darmiyan
mera wajud jaise mujh ko chhoD kar chala gaya
main barg-e-sabz tha jise
KHizan ka hat shaKH-e-tar se toD kar chala gaya
main ek samt falsafe ke an-ginat nikat ki panah hun
aur ek samt aagahi ke jabr ki karah hun
musabqat ke daur mein wo saaten bhi aa gain
ki husn aur ishq mein mataa aur mushtari ka ramz jagne laga
na ishq itna be-KHabar
na husn itna mo'atabar
ki be-dalil qaziya-e-wafa ki dad de sake
ye kaenat be-hisi ki ek basit shakl hai
na zindagi ka kuchh asar
na maut se koi KHatar
ab aisi kaenat mein
is ek reza-e-wajud ke hawas kya karen
ab aise sard jism ki barahnagi ko dekh kar
KHulus-o-mehr-o-lutf ke hasin libas kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.