reza reza ikaiyan
reza reza ikā.iyāñ
vo ek shai
jis se apnā rishta juḌā huā hai
vo ek shai
jo hamārī us kī
har ek kī haDDiyoñ meñ pinhāñ
lahū lahū meñ basī huī hai
vo shai azal se
jo apnī majlis meñ jī sakī hai
na TūTtī hai na mar rahī hai
vo ek shai be-panāh sī hai
vo tañg-o-tārīk sī guphā.eñ
abhī abhī ek lamhe meñ jo suunī suunī sī ho ga.ī thiiñ
kuchh aur tārīk ho ga.ī haiñ
reza reza ho kar
dasoñ dishāoñ meñ
jī rahī haiñ
reza reza ikaiyan
wo ek shai
jis se apna rishta juDa hua hai
wo ek shai
jo hamari us ki
har ek ki haDDiyon mein pinhan
lahu lahu mein basi hui hai
wo shai azal se
jo apni majlis mein ji saki hai
na TuTti hai na mar rahi hai
wo ek shai be-panah si hai
wo tang-o-tarik si guphaen
abhi abhi ek lamhe mein jo suni suni si ho gai thin
kuchh aur tarik ho gai hain
reza reza ho kar
dason dishaon mein
ji rahi hain
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 50)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.