reza reza kar jata hai
lamhoñ ke rezoñ kī
halkī bārish meñ
sab kitne ḳhush ḳhush phirte haiñ
in ḳhush ḳhush phirne vāloñ ko
ye kaun batā.e
kaise nazar na aane vaale reze
lamhoñ ke
jab juḌ jaate haiñ
ek pahāḌ sā bhārī lamha ban jaate haiñ
jo chupke se apnī lambī aur chamkīlī
dum lahrātā aa jaatā hai
sar par dham se aa girtā hai
reza reza kar jaatā hai!!
lamhon ke rezon ki
halki barish mein
sab kitne KHush KHush phirte hain
in KHush KHush phirne walon ko
ye kaun batae
kaise nazar na aane wale reze
lamhon ke
jab juD jate hain
ek pahaD sa bhaari lamha ban jate hain
jo chupke se apni lambi aur chamkili
dum lahraata aa jata hai
sar par dham se aa girta hai
reza reza kar jata hai!!
- Book : Tasteer(Issue No. 9,10 July/August. 1999) (Pg. 258)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.