rihai
asiir logo
uTho aur uTh kar pahāḌ kaaTo
pahāḌ murda rivāyatoñ ke
pahāḌ andhī aqīdatoñ ke
pahāḌ zālim adāvatoñ ke
hamāre jismoñ ke qaid-ḳhānoñ meñ
saikḌoñ be-qarār jism
aur udaas rūheñ sisak rahī haiñ
vo ziina ziina bhaTak rahī haiñ
ham in ko āzād kab kareñge
hamārā honā
hamārī in aane vaalī nasloñ ke vāste hai
ham in ke maqrūz haiñ
jo ham se vajūd leñge numūd leñge
kaTe hue ek sar se lākhoñ saroñ kī taḳhlīq
ab kahānī nahīñ rahī hai
lahū meñ jo shai dhaḌak rahī hai gamak rahī hai
hazāroñ āñkheñ
badan ke ḳhaliyoñ se jhāñktī be-qarār āñkheñ
ye kah rahī haiñ
asiir logoñ
jo zard patthar ke ghar meñ
yuuñ be-hisī kī chādar lapeT kar so rahe haiñ
un ko kaho ki uTh kar pahāḌ kāTeñ
hameñ rihā.ī kī sochnā hai
asir logo
uTho aur uTh kar pahaD kaTo
pahaD murda riwayaton ke
pahaD andhi aqidaton ke
pahaD zalim adawaton ke
hamare jismon ke qaid-KHanon mein
saikDon be-qarar jism
aur udas ruhen sisak rahi hain
wo zina zina bhaTak rahi hain
hum in ko aazad kab karenge
hamara hona
hamari in aane wali naslon ke waste hai
hum in ke maqruz hain
jo hum se wajud lenge numud lenge
kaTe hue ek sar se lakhon saron ki taKHliq
ab kahani nahin rahi hai
lahu mein jo shai dhaDak rahi hai gamak rahi hai
hazaron aankhen
badan ke KHaliyon se jhankti be-qarar aankhen
ye kah rahi hain
asir logon
jo zard patthar ke ghar mein
yun be-hisi ki chadar lapeT kar so rahe hain
un ko kaho ki uTh kar pahaD kaTen
hamein rihai ki sochna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.