rihai
duur ik shor uThā shahr ke hangāmoñ meñ
ik ghaḌī bhar ke liye uTh ke kahīñ Duub gayā
ik ghaḌī bhar ke liye guuñj uThā sehan-e-qafas
baT ga.ī dard kī tauqīr ka.ī nāmoñ meñ
guuñj uThā sehan-e-qafas dard kī zanjīroñ se
aur sar-e-dāman-e-sayyād kahīñ nam na huā
qaidiyoñ ne saf-e-mātam bhī bichā.ī lekin
shor-e-zanjīr-e-alam phir bhī magar kam na huā
jaane kis tarah se guzre sahar-o-shām apne
karvaTeñ letā rahā sej pe angāroñ kī
ek ummīd ki ik roz rihā.ī hogī
aur bulandī ki jo baḌhtī rahī dīvāroñ kī
apne hisse kī sazā kaaT ke jab ik qaidī
jaane lagtā hai qafas se to pukār uThte haiñ
dard-o-ġham halqa-e-zanjīr dar-o-bām-e-qafas
kal jo chubhte the vahī ḳhaar sadā dete haiñ
zulm-e-sayyād-o-sitam-kārī-e-zindāñ kī qasam
dard-e-insān-o-vafādārī-e-yārāñ kī qasam
shorish-e-dard-o-ġham-e-zulf-e-pareshāñ kī qasam
chashm-e-nam chāk-jigar dīda-e-hairāñ kī qasam
mehrbāñ ek na ik din to ḳhudā bhī hogā
nā-rasā aaj jo naala hai rasā bhī hogā
band hai gar dar-e-zindāñ to ye vā bhī hogā
aaj jo qaid hai ik roz rihā bhī hogā
dur ek shor uTha shahr ke hangamon mein
ek ghaDi bhar ke liye uTh ke kahin Dub gaya
ek ghaDi bhar ke liye gunj uTha sehan-e-qafas
baT gai dard ki tauqir kai namon mein
gunj uTha sehan-e-qafas dard ki zanjiron se
aur sar-e-daman-e-sayyaad kahin nam na hua
qaidiyon ne saf-e-matam bhi bichai lekin
shor-e-zanjir-e-alam phir bhi magar kam na hua
jaane kis tarah se guzre sahar-o-sham apne
karwaTen leta raha sej pe angaron ki
ek ummid ki ek roz rihai hogi
aur bulandi ki jo baDhti rahi diwaron ki
apne hisse ki saza kaT ke jab ek qaidi
jaane lagta hai qafas se to pukar uThte hain
dard-o-gham halqa-e-zanjir dar-o-baam-e-qafas
kal jo chubhte the wahi KHar sada dete hain
zulm-e-sayyaad-o-sitam-kari-e-zindan ki qasam
dard-e-insan-o-wafadari-e-yaran ki qasam
shorish-e-dard-o-gham-e-zulf-e-pareshan ki qasam
chashm-e-nam chaak-jigar dida-e-hairan ki qasam
mehrban ek na ek din to KHuda bhi hoga
na-rasa aaj jo nala hai rasa bhi hoga
band hai gar dar-e-zindan to ye wa bhi hoga
aaj jo qaid hai ek roz riha bhi hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.