rihai kab milegi
mirā dil ek nanhā sā qafas hai
yuuñ to is meñ chaar ḳhāne haiñ
lahū meñ tar bahut se shāḳhsāne haiñ
fasāne haiñ ḳhazāne haiñ
yahāñ rangīñ parindoñ kī tarah nāzuk
bahut se lafz qaidī haiñ
niDhāl afsurda pazhmurda magar ab bhī
ruḳh-e-qirtās kī taz.īn-o-ārā.ish
samā.at kī fazāoñ meñ
bikhar jaane kī ḳhvāhish
zindagī kī dastakoñ meñ tilmilātī hai
udaas āñkhoñ se kahtī hai
ki ham ko maslahat kī qaid se āḳhir rihā.ī kab milegī
mera dil ek nanha sa qafas hai
yun to is mein chaar KHane hain
lahu mein tar bahut se shaKHsane hain
fasane hain KHazane hain
yahan rangin parindon ki tarah nazuk
bahut se lafz qaidi hain
niDhaal afsurda pazhmurda magar ab bhi
ruKH-e-qirtas ki tazin-o-araish
samaat ki fazaon mein
bikhar jaane ki KHwahish
zindagi ki dastakon mein tilmilati hai
udas aankhon se kahti hai
ki hum ko maslahat ki qaid se aaKHir rihai kab milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.