rihai ki be-sud KHwahish
mere kamre kī khiḌkī ke bāhar havā chīḳhtī hai
baḌā shor hai
sīTiyāñ baj rahī haiñ
chamak dhuup kī band khiḌkī ke shīshe se andar chalī aa rahī hai
havā.eñ fazā meñ bahe jā rahī haiñ
mire har taraf shor hī shor hai
magar ek be-nām bastī
muhīb aur pur-shor sannāToñ se jāñ-ba-lab hai
khiḌkiyāñ khol do
ye ūñchī bahut ūñchī dīvāreñ Dhā do
mujhe pañkh de kar havā meñ uḌā do
mujhe vādiyoñ kohsāroñ chaman-zāroñ kī ḳhushbuoñ meñ samā jaane do
havā ban ke har sū bikhar jaane do
mujhe is samundar kī gahrā.iyoñ meñ utar jaane do
mere kamre kī khiḌkī ke bāhar havā chīḳhtī hai
baḌā shor hai
sīTiyāñ baj rahī haiñ
chamak dhuup kī band khiḌkī ke shīshe se andar chalī aa rahī hai
havā.eñ fazā meñ bahe jā rahī haiñ
mere kamre ki khiDki ke bahar hawa chiKHti hai
baDa shor hai
siTiyan baj rahi hain
chamak dhup ki band khiDki ke shishe se andar chali aa rahi hai
hawaen faza mein bahe ja rahi hain
mere har taraf shor hi shor hai
magar ek be-nam basti
muhib aur pur-shor sannaTon se jaan-ba-lab hai
khiDkiyan khol do
ye unchi bahut unchi diwaren Dha do
mujhe pankh de kar hawa mein uDa do
mujhe wadiyon kohsaron chaman-zaron ki KHushbuon mein sama jaane do
hawa ban ke har su bikhar jaane do
mujhe is samundar ki gahraiyon mein utar jaane do
mere kamre ki khiDki ke bahar hawa chiKHti hai
baDa shor hai
siTiyan baj rahi hain
chamak dhup ki band khiDki ke shishe se andar chali aa rahi hai
hawaen faza mein bahe ja rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.