rijaiyat ki himayat mein
be-irāda chaleñge to lā-hāsilī ke masā.ib se bach jā.eñge
tum kahoge koī phuul rakh dūsre haat par
dil hī dil meñ maiñ ro dūñgā is baat par
maiñ kahūñgā
nahīñ kuchh na kah pā.ūñgā
qahqaha maar kar bas hañsūñgā tumheñ bhī hañsī aa.egī
be-irāda yūñhī
be-irāda hañseñge yūñhī der tak
phir ḳhayāl ā.egā: tum ne ik baat mujh se kahī thī
batāo: vo kyā baat thī
tum kahoge haTāo bhulā do use
aao chal deñ yūñhī
be-irāda kahīñ
bhuul jaa.eñ ki us ke gunāhgār haiñ
us ke qātil haiñ ham
bhuul jaa.eñ ki apnī sazā maut hai
be-irada chalenge to la-hasili ke masaib se bach jaenge
tum kahoge koi phul rakh dusre hat par
dil hi dil mein main ro dunga is baat par
main kahunga
nahin kuchh na kah paunga
qahqaha mar kar bas hansunga tumhein bhi hansi aaegi
be-irada yunhi
be-irada hansenge yunhi der tak
phir KHayal aaega: tum ne ek baat mujh se kahi thi
batao: wo kya baat thi
tum kahoge haTao bhula do use
aao chal den yunhi
be-irada kahin
bhul jaen ki us ke gunahgar hain
us ke qatil hain hum
bhul jaen ki apni saza maut hai
- Book : Intekhab-e- kumaar paashii (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.