rind
jaan maiñ tere shabistāñ meñ chalā ā.ūñgā
tujh meñ guftār kī tāqat bhī na rah jā.egī
tujh meñ inkār kī jur.at bhī na rah jā.egī
terī zulfoñ kī siyah raat meñ so jā.ūñgā
tere aariz kī mahaktī huī ḳhush-rang sharāb
pī ke maiñ azm ke sūraj ko bhī chamkā.ūñgā
maiñ zamāne kī hikāyāt badal jā.ūñgā
jaan main tere shabistan mein chala aaunga
tujh mein guftar ki taqat bhi na rah jaegi
tujh mein inkar ki jurat bhi na rah jaegi
teri zulfon ki siyah raat mein so jaunga
tere aariz ki mahakti hui KHush-rang sharab
pi ke main azm ke suraj ko bhi chamkaunga
main zamane ki hikayat badal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.