risalat
havā-e-bayābāñ kī sargoshiyāñ dhīmī dhīmī
ki dekho sahar hai qarīb
hazāroñ alam-hā-e-jāñ-kāh kā ḳhūñ-bahā
us ke āhañg meñ rañg meñ
us kī shabnam se bedār har phūlban kā nasīb
sahar hai qarīb
magar maiñ ne dekhā sahar ko bahut duur
apnī abad-gīr lazzat meñ gum
gul-o-barg-o-ashjār se māvarā
zamānoñ kī raftār
tāroñ ke anvār se māvarā
bahut duur pūrab se lekin
havā-e-bayābāñ kī sargoshiyoñ se qarīb
hazāroñ alam-hā-e-jāñ kaah kā ḳhuuñ bahā
us ke āhañg meñ rañg meñ
us ke lahje kī dildāriyāñ haiñ ajiib
sahar hai qarīb
hawa-e-bayaban ki sargoshiyan dhimi dhimi
ki dekho sahar hai qarib
hazaron alam-ha-e-jaan-kah ka KHun-baha
us ke aahang mein rang mein
us ki shabnam se bedar har phulban ka nasib
sahar hai qarib
magar main ne dekha sahar ko bahut dur
apni abad-gir lazzat mein gum
gul-o-barg-o-ashjar se mawara
zamanon ki raftar
taron ke anwar se mawara
bahut dur purab se lekin
hawa-e-bayaban ki sargoshiyon se qarib
hazaron alam-ha-e-jaan kah ka KHun baha
us ke aahang mein rang mein
us ke lahje ki dildariyan hain ajib
sahar hai qarib
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 270)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.