rishta apne mazi ka
saikḌoñ saal kā
roz aur shab se haiñ
apne maazī ke rishte juḌe
sāhil-e-sindh par
ek duḳhānī kashtī ravāñ
jis meñ baiThe hue kuchh hasīñ naujavāñ
ik hasīñ sā kinārā jo aayā nazar
ruk ga.e log sab
aur hairat se har chiiz dekhā kiye
sar uThā.e khajūroñ ke kuchh peḌ the
sarsarātī havā
pal rahī thī jo bū-e-mohabbat kī āġhosh meñ
pattharoñ ke baḌe sāf-o-sāda makāñ
the makīñ jin ke mehr-o-mohabbat ke but
paanī mīThā bhī thā aur ḳhush-zā.eqa
in javānoñ ke dil ko fazā bhā ga.ī
zindagī jhūmī aur aise māhaul par
ruk ga.ī daf.atan
mandiroñ ke sunahre aur ūñche kalas
nuqra.ī jin kī ghanToñ kī āvāz thī
kitnī thī dil-pazīr
aur ras se bharī
naujavānoñ ke pākīza jhurmuT se ik
naujavāñ ne pukārī fajar kī azaañ
jis meñ ḳhvābīda thiiñ kitnī ra.anā.iyāñ
do sadāoñ meñ be-laus sangam huā
donoñ milte rahe
dil bhī milte ga.e
ab azaañ aur nāqūs the mushtarak
donoñ the shādmāñ
donoñ the mutma.in
donoñ milte rahe donoñ milte ga.e
mushtarak ek tahzīb paltī ga.ī
thī jo pākīza-tar
aur mehr-o-muravvat kī ā.ina-dār
jis se aa.ī gulistāñ meñ apne bahār
aaj har phuul par yuuñ jo hai tāzgī
sāl-hā-sāl kī
apnī mehnat kā samra hai ye
apne purkhoñ kī ik den hai
ġham uThā.e
jinhoñ ne magar
rishte ko aur mazbūt karte rahe
us kī kaḌiyoñ ko marbūt karte rahe
ham bhī vāris unhīñ ke haiñ
aur tum bhī ho
TūTne paa.e dhāgā na ye dekhnā
ḳhūn-e-dil se banā.eñge
motī jo ham
durr-e-shahvār āñkhoñ se Tapkā.eñ jo
gūñdh leñge usī ek rishte se ham
kyūñki maazī se apne
hameñ pyaar hai
kyūñki maazī hamārā yahī haal hai
koī ā.inda us se alag hogā kab
saikḌoñ saal ke
roz aur shab se haiñ
apne maazī ke rishte juḌe
saikDon sal ka
roz aur shab se hain
apne mazi ke rishte juDe
sahil-e-sindh par
ek duKHani kashti rawan
jis mein baiThe hue kuchh hasin naujawan
ek hasin sa kinara jo aaya nazar
ruk gae log sab
aur hairat se har chiz dekha kiye
sar uThae khajuron ke kuchh peD the
sarsaraati hawa
pal rahi thi jo bu-e-mohabbat ki aaghosh mein
pattharon ke baDe saf-o-sada makan
the makin jin ke mehr-o-mohabbat ke but
pani miTha bhi tha aur KHush-zaeqa
in jawanon ke dil ko faza bha gai
zindagi jhumi aur aise mahaul par
ruk gai dafatan
mandiron ke sunahre aur unche kalas
nuqrai jin ki ghanTon ki aawaz thi
kitni thi dil-pazir
aur ras se bhari
naujawanon ke pakiza jhurmuT se ek
naujawan ne pukari fajar ki azan
jis mein KHwabida thin kitni ranaiyan
do sadaon mein be-laus sangam hua
donon milte rahe
dil bhi milte gae
ab azan aur naqus the mushtarak
donon the shadman
donon the mutmain
donon milte rahe donon milte gae
mushtarak ek tahzib palti gai
thi jo pakiza-tar
aur mehr-o-murawwat ki aaina-dar
jis se aai gulistan mein apne bahaar
aaj har phul par yun jo hai tazgi
sal-ha-sal ki
apni mehnat ka samra hai ye
apne purkhon ki ek den hai
gham uThae
jinhon ne magar
rishte ko aur mazbut karte rahe
us ki kaDiyon ko marbut karte rahe
hum bhi waris unhin ke hain
aur tum bhi ho
TuTne pae dhaga na ye dekhna
KHun-e-dil se banaenge
moti jo hum
durr-e-shahwar aankhon se Tapkaen jo
gundh lenge usi ek rishte se hum
kyunki mazi se apne
hamein pyar hai
kyunki mazi hamara yahi haal hai
koi aainda us se alag hoga kab
saikDon sal ke
roz aur shab se hain
apne mazi ke rishte juDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.