rishta-e-dosti
yaum-e-alast kī baat hai
iqrār sabhī jab kar chuke the
ahd bhī pakke ho chuke the
phir unhī tauhīd lamhoñ meñ
ruuh merī ne
sahme sahme jhijhakte lahje
ye jhuk ke apne karīm rab se
kahā ki mālik navāz mujh ko
tavīl tārīk kaThin safar meñ
hayāt jis kā hai naam rakkhā
ik aisā anmol pyārā rishta
dostī hai naam jis kā
ye sun ke har-sū sukūt thā chhāyā
jumūd taarī thā har ek shai par
hairāñ malā.ik ye sochte the
ye ruuh sazā kī hai mustahiq ab
rahīm rab ko jo pyaar aaya
to merī jānib
ik rahmatoñ kā hisār aaya
ye farmān malā.ik ko huā yakāyak
vafā kī miTTī ko gūñdh rakho
phir milāo chāhat kā ūd-o-ambar
be-riyā.ī unDelo is meñ
karo be-laus vafāoñ kā araq shāmil
yak-jān hoñ jab sabhī ye ajzā
to har rūh-e-insāñ meñ kar do shāmil
ye buniyād thī rishta-e-dostī kī
rishtoñ ke is hujūm meñ monā
merī ḳhush-nasībī ki karīm rab ne
dostī ke kitne meherbāñ sitāre
mere āsmān-e-zindagī pe zau-fishāñ kiye haiñ
to ai mehr-o-vafā kī miTTī meñ guñdhe mere dosto
ye nazm merī tumhāre naam
ki mohabbatoñ ne tumhārī mujhe mālā-māl kiyā
aur is dostī ne
merī hastī ko be-misāl kiyā
yaum-e-alast ki baat hai
iqrar sabhi jab kar chuke the
ahd bhi pakke ho chuke the
phir unhi tauhid lamhon mein
ruh meri ne
sahme sahme jhijhakte lahje
ye jhuk ke apne karim rab se
kaha ki malik nawaz mujh ko
tawil tarik kaThin safar mein
hayat jis ka hai nam rakkha
ek aisa anmol pyara rishta
dosti hai nam jis ka
ye sun ke har-su sukut tha chhaya
jumud tari tha har ek shai par
hairan malaik ye sochte the
ye ruh saza ki hai mustahiq ab
rahim rab ko jo pyar aaya
to meri jaanib
ek rahmaton ka hisar aaya
ye farman malaik ko hua yakayak
wafa ki miTTi ko gundh rakho
phir milao chahat ka ud-o-ambar
be-riyai unDelo is mein
karo be-laus wafaon ka araq shamil
yak-jaan hon jab sabhi ye ajza
to har ruh-e-insan mein kar do shamil
ye buniyaad thi rishta-e-dosti ki
rishton ke is hujum mein mona
meri KHush-nasibi ki karim rab ne
dosti ke kitne meherban sitare
mere aasman-e-zindagi pe zau-fishan kiye hain
to ai mehr-o-wafa ki miTTi mein gundhe mere dosto
ye nazm meri tumhaare nam
ki mohabbaton ne tumhaari mujhe mala-mal kiya
aur is dosti ne
meri hasti ko be-misal kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.