rishta
ek saaya sā
jo saa.e kī tarah
har pal mere saath rahtā hai
aur
do ḳhūbsūrat āñkheñ
hamesha merā ta.āqub kartī haiñ
ek pur-kashish āvāz
bulātī hai mujh ko baar baar
ek pyārā sā vajūd
rahtā hai mere ās-pās
is anjāne se hisār meñ
har pal muqayyad huuñ maiñ
aisā lagtā hai
jaise maiñ saaz huuñ
aur vo ek āvāz
rishta ye hamārā
sadiyoñ purānā
aur
sāgar se bhī gahrā hai
ek saya sa
jo sae ki tarah
har pal mere sath rahta hai
aur
do KHubsurat aankhen
hamesha mera taaqub karti hain
ek pur-kashish aawaz
bulati hai mujh ko bar bar
ek pyara sa wajud
rahta hai mere aas-pas
is anjaane se hisar mein
har pal muqayyad hun main
aisa lagta hai
jaise main saz hun
aur wo ek aawaz
rishta ye hamara
sadiyon purana
aur
sagar se bhi gahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.