rishta gunge safar ka
ye kis janam meñ
ham
dobāra mile haiñ
ye ḳhat
rañg
qad
sab mujhe jānte haiñ
mire lams se āshnā haiñ
maiñ bhaTkā huuñ
kitne sarāboñ meñ sahrāoñ meñ
ka.ī kārvāñ mujh se aage ga.e
un ke naqsh-e-kaf-e-pā abhī mushta.il haiñ
abhī dhuul ne un pe chādar bichā.ī nahīñ hai
mujh se pīchhe
na.e kārvānoñ kī gard uḌā rahī hai
kuchh jiyāle javāñ
tāza-dam tez-rau
aur maiñ
vaqt kī rahguzar kā vo tanhā musāfir
jo har qāfile se alag
rah-ravoñ se alag
ajnabī samt
yuuñ chal rahā hai
ki us ke sivā koī sūrat nahīñ hai
tahayyur se paidā masarrat ke aañsū liye
is tarah ham mile jaise pahle kabhī mil chuke the
kaun se kārvāñ se bhaTaktī huī
tum dobāra idhar aa ga.ī ho
tumheñ kaun sī manzil-e-zindagī kī talab hai
tumhārī ragoñ meñ bhī
merī ragoñ kī tarah
kitnī sadiyoñ kā ḳhuuñ
kitnī nasloñ kā ḳhuuñ
maujzan hai
aur ye saarī nasleñ
shikasta magar ūñchī dīvār kī tarah istāda haiñ
yūñhī kab talak phone par baat karte raheñge
yūñhī fāsla jism kā lams kā
ek rishta faqat saut-o-avāz kā
ye rishta bhī hissa hai gūñge safar kā
jo kab TuuT jaa.e
kise ye pata hai
kaash ye rishta-e-saut-o-āvāz hī dā.imī ho
ki gūñge safar ke sabhī silsile aarzī haiñ
ye kis janam mein
hum
dobara mile hain
ye KHat
rang
qad
sab mujhe jaante hain
mere lams se aashna hain
main bhaTka hun
kitne sarabon mein sahraon mein
kai karwan mujh se aage gae
un ke naqsh-e-kaf-e-pa abhi mushtail hain
abhi dhul ne un pe chadar bichai nahin hai
mujh se pichhe
nae karwanon ki gard uDa rahi hai
kuchh jiyale jawan
taza-dam tez-rau
aur main
waqt ki rahguzar ka wo tanha musafir
jo har qafile se alag
rah-rawon se alag
ajnabi samt
yun chal raha hai
ki us ke siwa koi surat nahin hai
tahayyur se paida masarrat ke aansu liye
is tarah hum mile jaise pahle kabhi mil chuke the
kaun se karwan se bhaTakti hui
tum dobara idhar aa gai ho
tumhein kaun si manzil-e-zindagi ki talab hai
tumhaari ragon mein bhi
meri ragon ki tarah
kitni sadiyon ka KHun
kitni naslon ka KHun
maujzan hai
aur ye sari naslen
shikasta magar unchi diwar ki tarah istada hain
yunhi kab talak phone par baat karte rahenge
yunhi fasla jism ka lams ka
ek rishta faqat saut-o-awaz ka
ye rishta bhi hissa hai gunge safar ka
jo kab TuT jae
kise ye pata hai
kash ye rishta-e-saut-o-awaz hi daimi ho
ki gunge safar ke sabhi silsile aarzi hain
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 479)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.