rishta
kal us ne pūchh hī Daalā
tum āḳhir kaun ho mere
hamāre darmiyāñ
jo ik ta.alluq hai
jo rishta hai
vo āḳhir kaun sā hai
naam kyā hai
kuchh batāoge
to maiñ ne kah diyā
rishta vahī hai darmiyāñ apne
jo āñkhoñ kā hai nīñdoñ se
jo nīñdoñ kā hai ḳhvāboñ se
jo ḳhvāboñ kā hai rātoñ se
jo rātoñ kā añdheroñ se
añdheroñ kā sitāroñ se
sitāroñ kā falak se hai
falak kā chāñd-sūraj se
jo sūraj-chāñd kā hai is zamīñ se
aur zamīñ kā peḌ-paudoñ se
havāoñ se ghaTāoñ se
ghaTāoñ kā bahāroñ se
bahāroñ kā hai phūloñ se
jo phūloñ kā hai ḳhushbū se
jo ḳhushbū kā hai bhauñroñ se
jo bhauñroñ kā hai kaliyoñ se
jo kaliyoñ kā hai kāñToñ se
jo kāñToñ kā hai shāḳhoñ se
jo shāḳhoñ kā jaḌoñ se hai
jaḌoñ kā hai jo miTTī se
jo miTTī kā bashar se hai
bashar kā jo ḳhudā se hai
ḳhudā kā nek bandoñ se
aur un bandoñ kā īmāñ se
aur īmāñ kā aqīdat se
aqīdat kā mohabbat se
mohabbat kā diloñ se hai
vahī dil
jo tere siine meñ hai aur mere siine meñ
mohabbat jis ke andar hai
mohabbat kā hasīñ rishta vahī hai darmiyāñ apne
ab is rishte ko koī naam dene kī zarūrat hai
kal us ne puchh hi Dala
tum aaKHir kaun ho mere
hamare darmiyan
jo ek talluq hai
jo rishta hai
wo aaKHir kaun sa hai
nam kya hai
kuchh bataoge
to main ne kah diya
rishta wahi hai darmiyan apne
jo aankhon ka hai nindon se
jo nindon ka hai KHwabon se
jo KHwabon ka hai raaton se
jo raaton ka andheron se
andheron ka sitaron se
sitaron ka falak se hai
falak ka chand-suraj se
jo suraj-chand ka hai is zamin se
aur zamin ka peD-paudon se
hawaon se ghaTaon se
ghaTaon ka bahaaron se
bahaaron ka hai phulon se
jo phulon ka hai KHushbu se
jo KHushbu ka hai bhaunron se
jo bhaunron ka hai kaliyon se
jo kaliyon ka hai kanTon se
jo kanTon ka hai shaKHon se
jo shaKHon ka jaDon se hai
jaDon ka hai jo miTTi se
jo miTTi ka bashar se hai
bashar ka jo KHuda se hai
KHuda ka nek bandon se
aur un bandon ka iman se
aur iman ka aqidat se
aqidat ka mohabbat se
mohabbat ka dilon se hai
wahi dil
jo tere sine mein hai aur mere sine mein
mohabbat jis ke andar hai
mohabbat ka hasin rishta wahi hai darmiyan apne
ab is rishte ko koi nam dene ki zarurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.