rishte
nāzuk ho ga.e haiñ rishte
TuuT rahe haiñ dhāge kī tarah
muñh moḌ lete haiñ log
dil toḌ dete haiñ
ruḳh pher lete haiñ
bas chale to yādoñ ko bhī khurach Dāleñ
tasavvur ko bhī dil se nikāl pheñkeñ
hasīn vaqt kī jo yādeñ haiñ
ye magar ho nahīñ saktā
phir bhī toḌ ke rishtoñ ko
aate haiñ pesh ajnabī kī tarah
nāzuk ho ga.e haiñ rishte
TuuT rahe haiñ dhāge kī tarah
nazuk ho gae hain rishte
TuT rahe hain dhage ki tarah
munh moD lete hain log
dil toD dete hain
ruKH pher lete hain
bas chale to yaadon ko bhi khurach Dalen
tasawwur ko bhi dil se nikal phenken
hasin waqt ki jo yaaden hain
ye magar ho nahin sakta
phir bhi toD ke rishton ko
aate hain pesh ajnabi ki tarah
nazuk ho gae hain rishte
TuT rahe hain dhage ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.