rishton ki pahchan
hameñ sab patā hai
ki ham dhartiyoñ ke nirāle fusūñ se
azal se shanāsā haiñ
aur nīl-gūñ āsmānoñ kā nashsha bhī
ham ne chakhā hai
unheñ ġham yahī hai ki un ke saroñ par
koī āsmāñ hai na paañv ke nīche zamīñ hai
faqat ik ḳharīdā huā karb-e-qismat hai un kī
hameñ sab patā hai
unheñ lauTnā hai pashemān ho kar
safar ke dukhoñ se pareshān ho kar
ki dhartī kā aur āsmānoñ kā rishta
azal se purānā hai
aur ek hī suut meñ ham piro.e hue haiñ
hamein sab pata hai
ki hum dhartiyon ke nirale fusun se
azal se shanasa hain
aur nil-gun aasmanon ka nashsha bhi
hum ne chakha hai
unhen gham yahi hai ki un ke saron par
koi aasman hai na panw ke niche zamin hai
faqat ek KHarida hua karb-e-qismat hai un ki
hamein sab pata hai
unhen lauTna hai pasheman ho kar
safar ke dukhon se pareshan ho kar
ki dharti ka aur aasmanon ka rishta
azal se purana hai
aur ek hi sut mein hum piroe hue hain
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 203)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.