rishwat
log ham se roz kahte haiñ ye aadat chhoḌiye
ye tijārat hai ḳhilāf-e-ādmiyat chhoḌiye
is se bad-tar lat nahīñ hai koī ye lat chhoḌiye
roz aḳhbāroñ meñ chhaptā hai ki rishvat chhoḌiye
bhuul kar bhī jo koī letā hai rishvat chor hai
aaj qaumī pāgaloñ meñ raat din ye shor hai
kis ko samjhā.eñ use khodeñ to phir pā.eñge kyā
ham agar rishvat nahīñ leñge to phir khā.eñge kyā
qaid bhī kar deñ to ham ko raah par lā.eñge kyā
ye junūn-e-ishq ke andāz chhuT jā.eñge kyā
mulk bhar ko qaid kar de kis ke bas kī baat hai
ḳhair se sab haiñ koī do-chār das kī baat hai
ye havas ye chor bāzārī ye mahñgā.ī ye bhaav
raa.ī kī qīmat ho jab parbat to kyuuñ na aa.e taav
apnī tanḳhvāhoñ ke naale meñ hai paanī ādh-pāv
aur lākhoñ Tan kī bhārī apne jīvan kī hai naav
jab talak rishvat na leñ ham daal gal saktī nahīñ
naav tanḳhvāhoñ ke paanī meñ to chal saktī nahīñ
rishvatoñ kī zindagī hai chor-bāzārī ke saath
chal rahī hai be-zarī ahkām-e-zardārī ke saath
phurtiyāñ chūhoñ kī haiñ billī kī tarrārī ke saath
aap rokeñ ḳhvāh kitnī hī sitamgārī ke saath
ham nahīñ hilne ke sun liije kisī bhauñchāl se
kaam ye chaltā rahegā aap ke iqbāl se
ye hai mil vaalā vo baniyā hai ye sāhūkār hai
ye hai dūkāñ-dār vo hai ved ye attār hai
vo agar Thag hai to ye Daaku hai vo baT-mār hai
aaj har gardan meñ kaalī jiit kā ik haar hai
haif mulk-o-qaum kī ḳhidmat-guzārī ke liye
rah ga.e haiñ ik hamīñ īmān-dārī ke liye
bhuuk ke qānūn meñ īmān-dārī jurm hai
aur be-īmāniyoñ par sharmsārī jurm hai
dākuoñ ke daur meñ parhez-gārī jurm hai
jab hukūmat ḳhaam ho to puḳhta-kārī jurm hai
log aTkāte haiñ kyuuñ roḌe hamāre kaam meñ
jis ko dekho ḳhair se nañgā hai vo hammām meñ
toñd vāloñ kī to ho ā.īna-dārī vaah vā
aur ham bhūkoñ ke sar par chāñd-mārī vaah vā
un kī ḳhātir sub.h hote hī nahārī vaah vā
aur ham chāTā kareñ īmān-dārī vaah vā
seTh jī to ḳhuub motor meñ havā khāte phireñ
aur ham sab jūtiyāñ galiyoñ meñ chaTḳhāte phireñ
ḳhuub haq ke āstāñ par aur jhuke apnī jabīñ
jā.iye rahne bhī diije nāseh-e-gardūñ-nashīñ
tauba tauba ham bhaḌī meñ aa ke aur dekheñ zamīñ
aañkh ke andhe nahīñ haiñ gāñTh ke puure nahīñ
ham phaTak sakte nahīñ parhez-gārī ke qarīb
aql-mand aate nahīñ īmān-dārī ke qarīb
is girānī meñ bhalā kyā ġhuncha-e-īmāñ khile
jau ke daane saḳht haiñ tāñbe ke sikke pil-pile
jaa.eñ kapḌe ke liye to daam sun kar dil hile
jab garebāñ tā-ba-dāman aa.e to kapḌā mile
jaan bhī de de to saste daam mil saktā nahīñ
ādmiyat kā kafan hai dostoñ kapḌā nahīñ
sirf ik patlūn silvānā qayāmat ho gayā
vo silā.ī lī miyāñ darzī ne nañgā kar diyā
aap ko ma.alūm bhī hai chal rahī hai kyā havā
sirf ik tie kī qīmat ghoñT detī hai galā
halkī Topī sar pe rakhte haiñ to chakrātā hai sar
aur juute kī taraf baḌhiye to jhuk jaatā hai sar
thī buzurgoñ kī jo banyā.in vo baniyā le gayā
ghar meñ jo gāḌhī kamā.ī thī vo gāḌhā le gayā
jism kī ek ek boTī gosht vaalā le gayā
tan meñ baaqī thī jo charbī ghī kā pyāla le gayā
aa.ī tab rishvat kī chiḌiyā pañkh apne khol kar
varna mar jaate miyāñ kutte kī bolī bol kar
pattharoñ ko toḌte haiñ aadmī ke ustuḳhāñ
sañg-bārī ho to ban jaatī hai himmat sā.ebāñ
peT meñ letī hai lekin bhuuk jab añgḌā.iyāñ
aur to aur apne bachche ko chabā jaatī hai maañ
kyā batā.eñ bāziyāñ haiñ kis qadar haare hue
rishvateñ phir kyuuñ na leñ ham bhuuk ke maare hue
aap haiñ fazl-e-ḳhudā-e-pāk se kursī-nashīñ
intizām-e-saltanat hai aap ke zer-e-nagīñ
āsmāñ hai aap kā ḳhādim to lauñDī hai zamīñ
aap ḳhud rishvat ke zimmedār haiñ fidvī nahīñ
baḳhshte haiñ aap dariyā kashtiyāñ khete haiñ ham
aap dete haiñ mavāqe rishvateñ lete haiñ ham
Thiik to karte nahīñ buniyād-e-nā-hamvār ko
de rahe haiñ gāliyāñ girtī huī dīvār ko
sach batā.ūñ zeb ye detā nahīñ sarkār ko
pāliye bīmāriyoñ ko māriye bīmār ko
illa-e-rishvat ko is duniyā se ruḳhsat kījiye
varna rishvat kī dhaḌalle se ijāzat dījiye
bad bahut bad-shakl haiñ lekin badī hai nāznīñ
jaḌ ko bose de rahe haiñ peḌ se chīñ-bar-jabīñ
aap go paanī ulachte haiñ ba-tarz-e-dil-nashīñ
naav kā sūrāḳh lekin band farmāte nahīñ
koḌhiyoñ par āstīñ kab se chaḌhā.e haiñ huzūr
koḌh ko lekin kaleje se lagā.e haiñ huzūr
dast-kārī ke ufuq par abr ban kar chhā.iye
jahl ke ThanDe lahū ko ilm se garmā.iye
kār-ḳhāne kījiye qaa.em mashīneñ lā.iye
un zamīnoñ ko jo mahv-e-ḳhvāb haiñ chauñkāiye
ḳhvāh kuchh bhī ho munḌhe ye bail chaḌh saktī nahīñ
mulk meñ jab tak ki paidā-vār baḌh saktī nahīñ
dil meñ jitnā aa.e lūTeñ qaum ko shāh-o-vazīr
khīñch le ḳhanjar koī joḌe koī chille meñ tiir
be-dhaḌak pī kar ġharīboñ kā lahū akḌeñ amiir
devtā ban kar raheñ to ye ġhulāmān-e-haqīr
dostoñ kī gāliyāñ har aan sahne dījiye
ḳhāna-zādoñ ko yūñhī shaitān rahne dījiye
daam ik chhoTe se kuuze ke haiñ sau jām-e-bilūr
mol lene jaa.eñ ik qatra to deñ nahr-o-qusūr
ik diyā jo bechtā hai māñgtā hai sham-e-tūr
ik zarā se sañg-reze kī hai qīmat koh-e-nūr
jab ye aalam hai to ham rishvat se kyā tauba kareñ
tauba rishvat kaisī ham chanda na leñ to kyā kareñ
zulf us co-operative silsile kī hai darāz
chheḌte haiñ ham kabhī to vo kabhī rishvat kā saaz
gaah ham bante haiñ qumrī gaah vo bante haiñ baaz
aap ko ma.alūm kyā aapas kā ye rāz-o-niyāz
naav ham apnī khivāte bhī haiñ aur khete bhī haiñ
rishvatoñ ke lene vaale rishvateñ dete bhī haiñ
bādshāhī taḳht par hai aaj har shai jalva-gar
phir rahe haiñ Thokareñ khāte zar-o-la.al-o-guhar
ḳhaas chīzeñ qīmateñ un kī to haiñ aflāk par
āb-ḳhora muñh phulātā hai aTThannī dekh kar
chauda aane ser kī āvāz sun kar āj-kal
laal ho jaatā hai ġhusse se TamāTar āj-kal
nastaran meñ naaz baaqī hai na gul meñ rañg-o-bū
ab to hai sehn-e-chaman meñ ḳhār-o-ḳhas kī aabrū
ḳhurdanī chīzoñ ke chehroñ se Tapaktā hai lahū
rūpa.e kā rañg faq hai ashrafī hai zard-rū
haal ke sikke ko maazī kā jo sikka dekh le
sau ruupe ke note ke muñh par do annī thuuk de
vaqt se pahle hī aa.ī hai qayāmat dekhiye
muñh ko Dhāñpe ro rahī hai ādmiyat dekhiye
duur jā kar kis liye tasvīr-e-ibrat dekhiye
apne qibla 'josh' sāhab hī kī hālat dekhiye
itnī gambhīrī pe bhī mar-mar ke jiite haiñ janāb
sau jatan karte haiñ to ik ghūñT piite haiñ janāb
log hum se roz kahte hain ye aadat chhoDiye
ye tijarat hai KHilaf-e-admiyat chhoDiye
is se bad-tar lat nahin hai koi ye lat chhoDiye
roz aKHbaron mein chhapta hai ki rishwat chhoDiye
bhul kar bhi jo koi leta hai rishwat chor hai
aaj qaumi pagalon mein raat din ye shor hai
kis ko samjhaen use khoden to phir paenge kya
hum agar rishwat nahin lenge to phir khaenge kya
qaid bhi kar den to hum ko rah par laenge kya
ye junun-e-ishq ke andaz chhuT jaenge kya
mulk bhar ko qaid kar de kis ke bas ki baat hai
KHair se sab hain koi do-chaar das ki baat hai
ye hawas ye chor bazari ye mahngai ye bhaw
rai ki qimat ho jab parbat to kyun na aae taw
apni tanKHwahon ke nale mein hai pani aadh-paw
aur lakhon Tan ki bhaari apne jiwan ki hai naw
jab talak rishwat na len hum dal gal sakti nahin
naw tanKHwahon ke pani mein to chal sakti nahin
rishwaton ki zindagi hai chor-bazari ke sath
chal rahi hai be-zari ahkaam-e-zardari ke sath
phurtiyan chuhon ki hain billi ki tarrari ke sath
aap roken KHwah kitni hi sitamgari ke sath
hum nahin hilne ke sun lije kisi bhaunchaal se
kaam ye chalta rahega aap ke iqbaal se
ye hai mil wala wo baniya hai ye sahukar hai
ye hai dukan-dar wo hai wed ye attar hai
wo agar Thag hai to ye Daku hai wo baT-mar hai
aaj har gardan mein kali jit ka ek haar hai
haif mulk-o-qaum ki KHidmat-guzari ke liye
rah gae hain ek hamin iman-dari ke liye
bhuk ke qanun mein iman-dari jurm hai
aur be-imaniyon par sharmsari jurm hai
dakuon ke daur mein parhez-gari jurm hai
jab hukumat KHam ho to puKHta-kari jurm hai
log aTkate hain kyun roDe hamare kaam mein
jis ko dekho KHair se nanga hai wo hammam mein
tond walon ki to ho aaina-dari wah wa
aur hum bhukon ke sar par chand-mari wah wa
un ki KHatir subh hote hi nahaari wah wa
aur hum chaTa karen iman-dari wah wa
seTh ji to KHub motor mein hawa khate phiren
aur hum sab jutiyan galiyon mein chaTKHate phiren
KHub haq ke aastan par aur jhuke apni jabin
jaiye rahne bhi dije naseh-e-gardun-nashin
tauba tauba hum bhaDi mein aa ke aur dekhen zamin
aankh ke andhe nahin hain ganTh ke pure nahin
hum phaTak sakte nahin parhez-gari ke qarib
aql-mand aate nahin iman-dari ke qarib
is girani mein bhala kya ghuncha-e-iman khile
jau ke dane saKHt hain tanbe ke sikke pil-pile
jaen kapDe ke liye to dam sun kar dil hile
jab gareban ta-ba-daman aae to kapDa mile
jaan bhi de de to saste dam mil sakta nahin
aadmiyat ka kafan hai doston kapDa nahin
sirf ek patlun silwana qayamat ho gaya
wo silai li miyan darzi ne nanga kar diya
aap ko malum bhi hai chal rahi hai kya hawa
sirf ek tie ki qimat ghonT deti hai gala
halki Topi sar pe rakhte hain to chakraata hai sar
aur jute ki taraf baDhiye to jhuk jata hai sar
thi buzurgon ki jo banyain wo baniya le gaya
ghar mein jo gaDhi kamai thi wo gaDha le gaya
jism ki ek ek boTi gosht wala le gaya
tan mein baqi thi jo charbi ghi ka pyala le gaya
aai tab rishwat ki chiDiya pankh apne khol kar
warna mar jate miyan kutte ki boli bol kar
pattharon ko toDte hain aadmi ke ustuKHan
sang-bari ho to ban jati hai himmat saeban
peT mein leti hai lekin bhuk jab angDaiyan
aur to aur apne bachche ko chaba jati hai man
kya bataen baziyan hain kis qadar haare hue
rishwaten phir kyun na len hum bhuk ke mare hue
aap hain fazl-e-KHuda-e-pak se kursi-nashin
intizam-e-saltanat hai aap ke zer-e-nagin
aasman hai aap ka KHadim to launDi hai zamin
aap KHud rishwat ke zimmedar hain fidwi nahin
baKHshte hain aap dariya kashtiyan khete hain hum
aap dete hain mawaqe rishwaten lete hain hum
Thik to karte nahin buniyaad-e-na-hamwar ko
de rahe hain galiyan girti hui diwar ko
sach bataun zeb ye deta nahin sarkar ko
paliye bimariyon ko mariye bimar ko
illa-e-rishwat ko is duniya se ruKHsat kijiye
warna rishwat ki dhaDalle se ijazat dijiye
bad bahut bad-shakl hain lekin badi hai naznin
jaD ko bose de rahe hain peD se chin-bar-jabin
aap go pani ulachte hain ba-tarz-e-dil-nashin
naw ka suraKH lekin band farmate nahin
koDhiyon par aastin kab se chaDhae hain huzur
koDh ko lekin kaleje se lagae hain huzur
dast-kari ke ufuq par abr ban kar chhaiye
jahl ke ThanDe lahu ko ilm se garmaiye
kar-KHane kijiye qaem mashinen laiye
un zaminon ko jo mahw-e-KHwab hain chaunkaiye
KHwah kuchh bhi ho munDhe ye bail chaDh sakti nahin
mulk mein jab tak ki paida-war baDh sakti nahin
dil mein jitna aae luTen qaum ko shah-o-wazir
khinch le KHanjar koi joDe koi chille mein tir
be-dhaDak pi kar gharibon ka lahu akDen amir
dewta ban kar rahen to ye ghulaman-e-haqir
doston ki galiyan har aan sahne dijiye
KHana-zadon ko yunhi shaitan rahne dijiye
dam ek chhoTe se kuze ke hain sau jam-e-bilur
mol lene jaen ek qatra to den nahr-o-qusur
ek diya jo bechta hai mangta hai sham-e-tur
ek zara se sang-reze ki hai qimat koh-e-nur
jab ye aalam hai to hum rishwat se kya tauba karen
tauba rishwat kaisi hum chanda na len to kya karen
zulf us co-operatiwe silsile ki hai daraaz
chheDte hain hum kabhi to wo kabhi rishwat ka saz
gah hum bante hain qumri gah wo bante hain baz
aap ko malum kya aapas ka ye raaz-o-niyaz
naw hum apni khiwate bhi hain aur khete bhi hain
rishwaton ke lene wale rishwaten dete bhi hain
baadshahi taKHt par hai aaj har shai jalwa-gar
phir rahe hain Thokaren khate zar-o-lal-o-guhar
KHas chizen qimaten un ki to hain aflak par
aab-KHora munh phulata hai aTThanni dekh kar
chauda aane ser ki aawaz sun kar aaj-kal
lal ho jata hai ghusse se TamaTar aaj-kal
nastaran mein naz baqi hai na gul mein rang-o-bu
ab to hai sehn-e-chaman mein KHar-o-KHas ki aabru
KHurdani chizon ke chehron se Tapakta hai lahu
rupae ka rang faq hai ashrafi hai zard-ru
haal ke sikke ko mazi ka jo sikka dekh le
sau rupe ke note ke munh par do anni thuk de
waqt se pahle hi aai hai qayamat dekhiye
munh ko Dhanpe ro rahi hai aadmiyat dekhiye
dur ja kar kis liye taswir-e-ibrat dekhiye
apne qibla 'josh' sahab hi ki haalat dekhiye
itni gambhiri pe bhi mar-mar ke jite hain janab
sau jatan karte hain to ek ghunT pite hain janab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.