riwayat ki taKHliq
mere naġhme to rivāyāt ke pāband nahīñ
tū ne shāyad yahī samjhā thā nadīm
tū ne samjhā thā ki shabnam kī ḳhunuk-tābī se
maiñ tirā rañg mahal aur sajā hī dūñgā
tū ne samjhā thā ki pīpal ke ghane saa.e meñ
apne college ke hī rūmān sunā.ūñgā tujhe
ek rañgīn sī titlī ke paroñ ke qisse
kuchh sehr-kār nigāhoñ ke bayāñ
kuchh javāñ saal adāoñ ke nishāñ
kuchh karūñgā lab o ruḳhsār kī bāteñ tujh se
tū ne shāyad yahī samjhā thā nadīm
tū ne ye kyuuñ nahīñ samjhā ki mere afsāne
tanz ban kar tirī sāñsoñ se ulajh jā.eñge
zindagī chāñd kī ThanDak hī nahīñ
zindagī garm mashīnoñ kā dhuāñ bhī hai nadīm
is dhueñ meñ mujhe zanjīr nazar aatī hai
mujh ko ḳhud terī hī tasvīr nazar aatī hai
ġhaur se dekh zarā dekh to le
tujh ko Dar hai tirī tahzīb na jal jaa.e kahīñ
mujh ko Dar hai ye rivāyāt na jal jaa.eñ kahīñ
phir ik din usī ḳhākistar se
ik na.e ahd kī ta.amīr to ho jā.egī
ek insān nayā ubhregā
sub.h aur shaam kī miltī huī sarhad ke qarīb
apne chehre pe shafaq-zār kī surḳhī le kar
ek insān nayā ubhregā
mere naġhme to rivāyāt ke pāband nahīñ
maiñ rivāyāt kī taḳhlīq kiyā kartā huuñ
mere naghme to riwayat ke paband nahin
tu ne shayad yahi samjha tha nadim
tu ne samjha tha ki shabnam ki KHunuk-tabi se
main tera rang mahal aur saja hi dunga
tu ne samjha tha ki pipal ke ghane sae mein
apne college ke hi ruman sunaunga tujhe
ek rangin si titli ke paron ke qisse
kuchh sehr-kar nigahon ke bayan
kuchh jawan sal adaon ke nishan
kuchh karunga lab o ruKHsar ki baaten tujh se
tu ne shayad yahi samjha tha nadim
tu ne ye kyun nahin samjha ki mere afsane
tanz ban kar teri sanson se ulajh jaenge
zindagi chand ki ThanDak hi nahin
zindagi garm mashinon ka dhuan bhi hai nadim
is dhuen mein mujhe zanjir nazar aati hai
mujh ko KHud teri hi taswir nazar aati hai
ghaur se dekh zara dekh to le
tujh ko Dar hai teri tahzib na jal jae kahin
mujh ko Dar hai ye riwayat na jal jaen kahin
phir ek din usi KHakistar se
ek nae ahd ki tamir to ho jaegi
ek insan naya ubhrega
subh aur sham ki milti hui sarhad ke qarib
apne chehre pe shafaq-zar ki surKHi le kar
ek insan naya ubhrega
mere naghme to riwayat ke paband nahin
main riwayat ki taKHliq kiya karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.