riwayat shikan
faiz le kar 'mīr' se aaya huā
dekhiye ik shaḳhs itrāyā huā
har suḳhanvar se yahī kahtā hai ab
mustanad hai merā farmāyā huā
māntā huuñ ye bajā hai Thiik hai
us ne jo jitnā kahā hai Thiik hai
ye nayā uslūb laa.e kis tarah
sher meñ jiddat dikhā.e kis tarah
us kā har ik lafz hai māñgā huā
ya.anī ab Tak jo kahā hai bhiik hai
us pe khulte hī nahīñ ġham baad ke
ahd-o-asr-e-ḳhānamāñ-barbād ke
'mīr'-o-'ġhālib' kā zamāna aur hai
ahd-e-hāzir kā fasāna aur hai
us ko kyā ma.alūm kyā se kyā hue
haa.e kitne hashr haiñ barpā hue
us ko kyā ma.alūm ġhurbat kī ghaḌī
ḳhvāb saare ek pal meñ mar ga.e
us ko kyā ma.alūm chhin jaane kā ġham
jaan se pyāre bhī apne na rahe
us ko kyā ma.alūm hai aqsā kā dukh
jab nihāttoñ par bhī missile chale
us ko kyā ma.alūm ki kashmīr meñ
kis tarah se maaoñ ke beTe kaTe
us ko kyā ma.alūm sunāmī kā din
shahr pal meñ duub kar maidāñ bane
us ko kyā ma.alūm nau gyārah ke baad
kis tarah ke zulm the Dhaa.e ga.e
us ko kyā ma.alūm bam ke zor par
jurm mazlūmoñ se manvā.e ga.e
us ko kyā ma.alūm kārobār hai
jang kā maidān bikte aslahe
ham sunā.eñ gar hurūf-e-āgahī
bhuul jaa.e har dalīl-e-shā.erī
uñgliyāñ kānoñ meñ de kar zor se
chīḳh maare aur mar jaa.e abhī
faiz le kar 'mir' se aaya hua
dekhiye ek shaKHs itraya hua
har suKHanwar se yahi kahta hai ab
mustanad hai mera farmaya hua
manta hun ye baja hai Thik hai
us ne jo jitna kaha hai Thik hai
ye naya uslub lae kis tarah
sher mein jiddat dikhae kis tarah
us ka har ek lafz hai manga hua
yani ab Tak jo kaha hai bhik hai
us pe khulte hi nahin gham baad ke
ahd-o-asr-e-KHanaman-barbaad ke
'mir'-o-'ghaalib' ka zamana aur hai
ahd-e-hazir ka fasana aur hai
us ko kya malum kya se kya hue
hae kitne hashr hain barpa hue
us ko kya malum ghurbat ki ghaDi
KHwab sare ek pal mein mar gae
us ko kya malum chhin jaane ka gham
jaan se pyare bhi apne na rahe
us ko kya malum hai aqsa ka dukh
jab nihatton par bhi missile chale
us ko kya malum ki kashmir mein
kis tarah se maon ke beTe kaTe
us ko kya malum sunami ka din
shahr pal mein dub kar maidan bane
us ko kya malum nau gyarah ke baad
kis tarah ke zulm the Dhae gae
us ko kya malum bam ke zor par
jurm mazlumon se manwae gae
us ko kya malum karobar hai
jang ka maidan bikte aslahe
hum sunaen gar huruf-e-agahi
bhul jae har dalil-e-shaeri
ungliyan kanon mein de kar zor se
chiKH mare aur mar jae abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.