riwayati mohabbat
jhukī jhukī nazroñ se pustakoñ
ko siine se lagā.e
dhak dhak karte dil ko sambhāle
kahīñ āñkheñ chaar na ho jaa.eñ
lab meñ chor-nazar se ghuste
ki aaj to darshan ho jaa.eñ
par mad-hoshī kā aalam to dekheñ ki
nazreñ milīñ to shāyad behosh ho jaa.eñ
email par khule aam ḳhat kī baat nahīñ ye
vo kachre meñ pheñkā kāġhaz bhī ka.ī tahoñ
meñ lagā kar siine meñ chhupā.eñ
koī jaan na le hamārī is ḳhāmosh mohabbat ko
soch is ḳhayāl se hī laal ho jaa.e
chhup-chhup kar rāshī-phal paḌhte
ki shāyad aaj mulāqāt ho jaa.e
hoñToñ ko siye chup-chāp ghūmte
ki bhuul se terā naam bhī laboñ par na aa jaa.e
aisī thiiñ vo mohabbateñ jahāñ banā dekhe
ka.ī sadiyāñ guzar jaa.eñ
jhuki jhuki nazron se pustakon
ko sine se lagae
dhak dhak karte dil ko sambhaale
kahin aankhen chaar na ho jaen
lab mein chor-nazar se ghuste
ki aaj to darshan ho jaen
par mad-hoshi ka aalam to dekhen ki
nazren milin to shayad behosh ho jaen
email par khule aam KHat ki baat nahin ye
wo kachre mein phenka kaghaz bhi kai tahon
mein laga kar sine mein chhupaen
koi jaan na le hamari is KHamosh mohabbat ko
soch is KHayal se hi lal ho jae
chhup-chhup kar rashi-phal paDhte
ki shayad aaj mulaqat ho jae
honTon ko siye chup-chap ghumte
ki bhul se tera nam bhi labon par na aa jae
aisi thin wo mohabbaten jahan bana dekhe
kai sadiyan guzar jaen
- Book : Kya Keh Rahi hai Zindagi (Pg. 107)
- Author : Mamta Tiwari
- Publication : Pahle Pahel Parkashan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.