rocket aur chand
ye kaise log haiñ
sahrā se
shahr se
ghar se
zamīñ se duur
bahut duur āsmāñ ke qarīb
talāsh karte haiñ manzil ko kahkashāoñ meñ
ye ghar basā.eñge apnā inhīñ fazāoñ meñ
kareñge raqs ye misl-e-sharar havāoñ meñ
lagegī aag uThegā dhuāñ ḳhalāoñ meñ
'ajab nahīñ ki kisī roz
husn gardūñ kā
dahakte khaulte rocket kī zad meñ aa jaa.e
khileñ na phuul ujāloñ ke
aur chāñd ik din
ġhubār-o-gard kī zulmat meñ kho ke rah jaa.e
ye kaise log hain
sahra se
shahr se
ghar se
zamin se dur
bahut dur aasman ke qarib
talash karte hain manzil ko kahkashaon mein
ye ghar basaenge apna inhin fazaon mein
karenge raqs ye misl-e-sharar hawaon mein
lagegi aag uThega dhuan KHalaon mein
'ajab nahin ki kisi roz
husn gardun ka
dahakte khaulte rocket ki zad mein aa jae
khilen na phul ujalon ke
aur chand ek din
ghubar-o-gard ki zulmat mein kho ke rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.