rocket
rocket vaznī hotā hai
vazn ḳhalā meñ khotā hai
muñh hai nukīlā moTī dum
hotā hai ye ḳhalā meñ gum
dam meñ hotā hai īñdhan
us kā ḳhalā se hai bandhan
pahle īñdhan jaltā hai
phir vo ḳhalā meñ uḌtā hai
apne madār meñ uḌtā hai
phir ye ḳhalā meñ muḌtā hai
ik vo camera rakhtā hai
tasvīreñ bhī letā hai
'hāfiz' masnūī rocket
lagtā hai barqī circuit
rocket wazni hota hai
wazn KHala mein khota hai
munh hai nukila moTi dum
hota hai ye KHala mein gum
dam mein hota hai indhan
us ka KHala se hai bandhan
pahle indhan jalta hai
phir wo KHala mein uDta hai
apne madar mein uDta hai
phir ye KHala mein muDta hai
ek wo camera rakhta hai
taswiren bhi leta hai
'hafiz' masnui rocket
lagta hai barqi circuit
- Book : Zamzame (Pg. 116)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnatki
- Publication : Fareed Book Depot (Pvt. Ltd) (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.