rota hua bakra
vahī bakrā
mirā mariyal sā bakrā
jise bablū ke bakre ne bahut maarā thā vo bakrā
vo kal phir ḳhvāb meñ aayā thā mere
dahāḌeñ maar kar rotā huā
aur niiñd se uTh kar hamesha kī tarah rone lagā maiñ
ḳhatā merī thī
maiñ ne hī laḌāyā thā use bablū ke bakre se
use ma.alūm thā piTnā hai us ko
magar phir bhī vo us moTe se jā kar bhiḌ gayā thā
mirī izzat kī ḳhātir
vo bhī qurbānī se bas kuchh der pahle
magar paapā to kahte haiñ vo jannat meñ bahut ārām se hogā
vahāñ angūr khā kar ḳhuub moTā ho gayā hogā
to kyuuñ rotā hai vo ḳhvāboñ meñ aa kar
vo kyuuñ rotā hai aa kar ḳhvāb meñ ye to nahīñ ma.alūm mujh ko
mujhe to ye patā hai
vo jab jab ḳhvāb meñ rotā huā aayā hai mere
to agle roz bablū ko bahut maarā hai maiñ ne
wahi bakra
mera mariyal sa bakra
jise bablu ke bakre ne bahut mara tha wo bakra
wo kal phir KHwab mein aaya tha mere
dahaDen mar kar rota hua
aur nind se uTh kar hamesha ki tarah rone laga main
KHata meri thi
main ne hi laDaya tha use bablu ke bakre se
use malum tha piTna hai us ko
magar phir bhi wo us moTe se ja kar bhiD gaya tha
meri izzat ki KHatir
wo bhi qurbani se bas kuchh der pahle
magar papa to kahte hain wo jannat mein bahut aaram se hoga
wahan angur kha kar KHub moTa ho gaya hoga
to kyun rota hai wo KHwabon mein aa kar
wo kyun rota hai aa kar KHwab mein ye to nahin malum mujh ko
mujhe to ye pata hai
wo jab jab KHwab mein rota hua aaya hai mere
to agle roz bablu ko bahut mara hai main ne
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 153)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.