roTi
paḌosī kī bakrī ne
phir ghar meñ ghus kar
koī chiiz khā lī
biivī ne sar pe qayāmat uThā lī
munne ko
rone meñ jaise mazā aa rahā hai
barābar vo ro.e chalā jā rahā hai
faqīr ab bhī chaukhaT se chipkā huā hai
vahī roz vaalī duā de rahā hai
roTī ke jalne kī bū
aur ammāñ kī chīḳhoñ se
ghar bhar gayā hai
pinjre meñ chakrāte miTThū kī āvāz
'roTī do
bī-bī jī roTī do'
is shor meñ kho ga.ī hai
roTī tave par bhasam ho ga.ī hai
paDosi ki bakri ne
phir ghar mein ghus kar
koi chiz kha li
biwi ne sar pe qayamat uTha li
munne ko
rone mein jaise maza aa raha hai
barabar wo roe chala ja raha hai
faqir ab bhi chaukhaT se chipka hua hai
wahi roz wali dua de raha hai
roTi ke jalne ki bu
aur amman ki chiKHon se
ghar bhar gaya hai
pinjre mein chakraate miTThu ki aawaz
'roTi do
bi-bi ji roTi do'
is shor mein kho gai hai
roTi tawe par bhasam ho gai hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 164)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.