roz-e-jaza
maiñ ki saada thā tahī-dast thā aur sachchā thā
log dete rahe dhoke mujh ko
maiñ yahī sochtā rah jaatā thā
kyā nahīñ roz-e-jazā
kyā unheñ ḳhauf nahīñ apne ḳhudā kā kuchh bhī
aur phir aisā huā
ek din mujh se mire dost ne ġhusse se kahā
tū ne mujhe dhokā diyā
kyā qayāmat kā tujhe ḳhauf nahīñ
main ki sada tha tahi-dast tha aur sachcha tha
log dete rahe dhoke mujh ko
main yahi sochta rah jata tha
kya nahin roz-e-jaza
kya unhen KHauf nahin apne KHuda ka kuchh bhi
aur phir aisa hua
ek din mujh se mere dost ne ghusse se kaha
tu ne mujhe dhoka diya
kya qayamat ka tujhe KHauf nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.