roz is aas pe
roz is aas pe darvāza khulā rakhtā huuñ
shāyad aa jaa.e vo chupke se kabhī us jānib
vo jo duniyā se bahut duurī par
aag ke ḳhauf se
sahme hue ik lamhe meñ
chhup ke bachche kī tarah baiThā hai
muntazir huuñ ki koī us ko sahārā de de
jise vo thaam ke
zulmat kā safar tai kar le
aur mil jaa.e vo mujh se ki mire chehre par
merī āñkhoñ ne sajā rakkhā hai ummīd kā baab
roz is aas pe darwaza khula rakhta hun
shayad aa jae wo chupke se kabhi us jaanib
wo jo duniya se bahut duri par
aag ke KHauf se
sahme hue ek lamhe mein
chhup ke bachche ki tarah baiTha hai
muntazir hun ki koi us ko sahaara de de
jise wo tham ke
zulmat ka safar tai kar le
aur mil jae wo mujh se ki mere chehre par
meri aankhon ne saja rakkha hai ummid ka bab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.