roza-KHor se inTerwiew
maiñ ne inTerview kiyā kal ek roza-ḳhor se
maiñ zabāñ se boltā thā vo shikam ke zor se
maiñ ne pūchhā aap ne roza ye kyuuñ rakkhā nahīñ
peT dikhlāne lagā bolā ki yuuñ rakhā nahīñ
roza yuuñ rakkhā nahīñ chaltī nahīñ bād-e-sabā
mausam-e-garmā meñ roze aa.e haiñ is martaba
job karnī hai zarūrī kaam karnā hai mujhe
cock pizza ke sahāre shaam karnā hai mujhe
maiñ ne lassī ke gilāsoñ meñ piyā kuchh aur hai
dopahar meñ murġh khāne kā mazā kuchh aur hai
din meñ khāne ke liye iqrār kar letā huuñ maiñ
shaam ko masjid meñ bhī iftār kar letā huuñ maiñ
koī shai khāte hue maiñ ne chhupā.ī hī nahīñ
aaj tak merī huī roza-kushā.ī hī nahīñ
roza-ḳhorī par mirī duniyā ko hairānī nahīñ
roza yuuñ rakkhā nahīñ bijlī nahīñ paanī nahīñ
maiñ jo be-roza huuñ ye bhī tajiroñ kā zarf hai
sau ruupe ujrat hai merī sau ruupe kā barf hai
rūh-afzā ke binā duniyā kī hūreñ rah ga.iiñ
roza-dāroñ ke liye sūkhī khajūreñ rah ga.iiñ
roza yuuñ rakkhā nahīñ ho jā.egā khānā ḳharāb
lunch par aa.egī kal hotel meñ rashk-e-māhtāb
maiñ huuñ shā.er mehrbāñ hai mujh pe ḳhallāq-e-azal
pesh karnī hai mujhe mahfil meñ ik taaza ġhazal
ajr-e-roza kyā hai ye sheroñ meñ batlā.ūñgā maiñ
lunch maiñ iftār kī tashrīh ban jā.ūñgā maiñ
bhuuk aur shā.er kā chūñ-kī cholī-dāman kā hai saath
mujh se baḌh ke jāntā hai kaun roza kī sifāt
pañdrah ghanTe kā roza har javān o piir kā
shaam karnā sub.h kā laanā hai jū-e-shīr kā
main ne inTerwiew kiya kal ek roza-KHor se
main zaban se bolta tha wo shikam ke zor se
main ne puchha aap ne roza ye kyun rakkha nahin
peT dikhlane laga bola ki yun rakha nahin
roza yun rakkha nahin chalti nahin baad-e-saba
mausam-e-garma mein roze aae hain is martaba
job karni hai zaruri kaam karna hai mujhe
cock pizza ke sahaare sham karna hai mujhe
main ne lassi ke gilason mein piya kuchh aur hai
dopahar mein murgh khane ka maza kuchh aur hai
din mein khane ke liye iqrar kar leta hun main
sham ko masjid mein bhi iftar kar leta hun main
koi shai khate hue main ne chhupai hi nahin
aaj tak meri hui roza-kushai hi nahin
roza-KHori par meri duniya ko hairani nahin
roza yun rakkha nahin bijli nahin pani nahin
main jo be-roza hun ye bhi tajiron ka zarf hai
sau rupe ujrat hai meri sau rupe ka barf hai
ruh-afza ke bina duniya ki huren rah gain
roza-daron ke liye sukhi khajuren rah gain
roza yun rakkha nahin ho jaega khana KHarab
lunch par aaegi kal hotel mein rashk-e-mahtab
main hun shaer mehrban hai mujh pe KHallaq-e-azal
pesh karni hai mujhe mahfil mein ek taza ghazal
ajr-e-roza kya hai ye sheron mein batlaunga main
lunch main iftar ki tashrih ban jaunga main
bhuk aur shaer ka chun-ki choli-daman ka hai sath
mujh se baDh ke jaanta hai kaun roza ki sifat
pandrah ghanTe ka roza har jawan o pir ka
sham karna subh ka lana hai ju-e-shir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.