rubai kya hai
hai rubā.ī rub.a se bachcho suno
chaar misroñ ko tum is ke pahchān lo
haiñ rubā.ī ke auzān hī kuchh alag
jāntā hai ise urdu vāloñ kā jag
kartī hai ye nasīhat kī bāteñ bahut
is meñ haiñ bas sadāqat kī bāteñ bahut
is kā ik vazn maḳhsūs hai dosto
qit.e se hai rubā.ī alag jaan lo
haañ rubā.ī to fāras kī ījād hai
fārsī aur urdu meñ ābād hai
haiñ rubā.ī ke urdu meñ shā.ir bahut
'josh'-o-'amjad' bhī Thahre haiñ māhir bahut
tum bhī 'hāfiz' rubā.ī kaho baar baar
laao bachchoñ kī nazmoñ meñ taaza bahār
hai rubai ruba se bachcho suno
chaar misron ko tum is ke pahchan lo
hain rubai ke auzan hi kuchh alag
jaanta hai ise urdu walon ka jag
karti hai ye nasihat ki baaten bahut
is mein hain bas sadaqat ki baaten bahut
is ka ek wazn maKHsus hai dosto
qite se hai rubai alag jaan lo
han rubai to faras ki ijad hai
farsi aur urdu mein aabaad hai
hain rubai ke urdu mein shair bahut
'josh'-o-'amjad' bhi Thahre hain mahir bahut
tum bhi 'hafiz' rubai kaho bar bar
lao bachchon ki nazmon mein taza bahaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.