rustagari
pahlī chīḳh tavallud hone kī
charḳhe se uljhī ammī ke bāloñ kī sapedī
hoñToñ par larzāñ harf-e-shahādat
riit ke jhakkaḌ meñ
bikharte titlī ke rañg
qabroñ meñ girte amboh-e-kavākib
pīchhā karte haiñ!
us din
jhiil ke ā.īne meñ
apne jism ko dekhā thā
ab har malbūs meñ
uryāñ hone kī lāchārī hai
maiñ ḳhud se hī
bhaag rahā huuñ
mujh ko roko zanjīr karo
ādāb-e-rāh-o-manzil se
begāna hotā jaatā huuñ!
pahli chiKH tawallud hone ki
charKHe se uljhi ammi ke baalon ki sapedi
honTon par larzan harf-e-shahadat
rit ke jhakkaD mein
bikharte titli ke rang
qabron mein girte amboh-e-kawakib
pichha karte hain!
us din
jhil ke aaine mein
apne jism ko dekha tha
ab har malbus mein
uryan hone ki lachaari hai
main KHud se hi
bhag raha hun
mujh ko roko zanjir karo
aadab-e-rah-o-manzil se
begana hota jata hun!
- Book : khvaab ravaan (Pg. 131)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.