ru-ba-ru-e-marg
maut se kyuuñ Darūñ maiñ aaj bhalā
maut to zindagī kī vus.at hai
jis mamāt se Darte haiñ log
vo to pā chukā thā bahut pahle maiñ
mere armānoñ kī maut
mere jazbāt kī maut
apnoñ se mulāqāt kī maut
in saare mahākāt kī maut
kaun ro.egā bhalā is kamīñ kī khatiyā par
mar gayā thā un ke liye ek ahd hī pahle
sab mujhe chhoḌ chale chhoḌ chale chhoḌ chale
ab kahīñ se ḳhabar nahīñ aatī
apnī yāsīn ḳhud hī paḌh lūñgā
maut se kyun Darun main aaj bhala
maut to zindagi ki wusat hai
jis mamat se Darte hain log
wo to pa chuka tha bahut pahle main
mere armanon ki maut
mere jazbaat ki maut
apnon se mulaqat ki maut
in sare mahakat ki maut
kaun roega bhala is kamin ki khatiya par
mar gaya tha un ke liye ek ahd hi pahle
sab mujhe chhoD chale chhoD chale chhoD chale
ab kahin se KHabar nahin aati
apni yasin KHud hi paDh lunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.