ru-posh hone ka din
ufuq vaale tah-ḳhāne se
vo barāmad huā din
jo qarnoñ pe bhārī hai
āñkhoñ ke aage
añdhere kā malba girātā hai
chau-taraf gherā banātā hai
haibat baḌhātā hai
muḳhbir
baḌe ātishī shīshe se
rāstoñ kā ghanā jaal taktā hai
bāhar
taġhāre ke nīche qadam ke nishāñ ko chhupāyā huā hai
lahad kī zarā sī jagah ko
falak-zār gumbad banāyā huā hai
gharoñ kī chhateñ uḌne bijlī kaḌakne
ma'an qurs-e-ḳhurshīd chhupne
safedī bhare āsmānī kināre ke tārīk hone kā din aa gayā hai
sharārat se sarshār
bahnoñ ke ḳhāmosh hone kā
aur maañ ke ḳhāmosh hone kā din aa gayā hai
mirī maañ
mirī an-kahī bāteñ aise samajhtī thī
dā.ūd jaise parindoñ kī bāteñ samajhtā thā
maañ kī mohabbat bharī god aaTe kā peḌā thī
jab maiñ humaktā
to maañ kī mohabbat bharī god aise pighaltī thī
dā.ūd ke haath meñ jaise lohā pighaltā thā
maiñ TūTtā to
harārat bharī god meñ
aise juḌtā thā
saara ke ḳhāvind kī āvāz par
jis tarah murġh juḌtā thā
aur dil tashakkur se bhartā thā
saara ke ḳhāvind kā dil
un pahāḌoñ ke pīchhe
kahīñ par safā aur marva nahīñ thī
jahāñ maañ mirī dauḌ saktī
phaTe nāḳhunoñ aur rā’sha-zada jism se
vo mohabbat bhare garm paanī chamakte hue āñsuoñ jaise paanī kī ḳhvāhish meñ
kaise kuaañ khod saktī
jahāñ par na paanī kī raushan jabīñ thī
na paanī thā
maiñ ne kahā thā ki maañ
mere lohe kī sūrat pighalne mire murġh kī tarah
TukḌoñ meñ taqsīm hone kā din aa gayā hai
zamānoñ talak
tere rone kā
bahnoñ ke ḳhāmosh hone kā
aur mere rū-posh hone kā din aa gayā hai
ufuq wale tah-KHane se
wo baramad hua din
jo qarnon pe bhaari hai
aankhon ke aage
andhere ka malba giraata hai
chau-taraf ghera banata hai
haibat baDhata hai
muKHbir
baDe aatishi shishe se
raston ka ghana jal takta hai
bahar
taghaare ke niche qadam ke nishan ko chhupaya hua hai
lahad ki zara si jagah ko
falak-zar gumbad banaya hua hai
gharon ki chhaten uDne bijli kaDakne
ma'an qurs-e-KHurshid chhupne
safedi bhare aasmani kinare ke tarik hone ka din aa gaya hai
shararat se sarshaar
bahnon ke KHamosh hone ka
aur man ke KHamosh hone ka din aa gaya hai
meri man
meri an-kahi baaten aise samajhti thi
daud jaise parindon ki baaten samajhta tha
man ki mohabbat bhari god aaTe ka peDa thi
jab main humakta
to man ki mohabbat bhari god aise pighalti thi
daud ke hath mein jaise loha pighalta tha
main TuTta to
hararat bhari god mein
aise juDta tha
sara ke KHawind ki aawaz par
jis tarah murgh juDta tha
aur dil tashakkur se bharta tha
sara ke KHawind ka dil
un pahaDon ke pichhe
kahin par safa aur marwa nahin thi
jahan man meri dauD sakti
phaTe naKHunon aur ra’sha-zada jism se
wo mohabbat bhare garm pani chamakte hue aansuon jaise pani ki KHwahish mein
kaise kuan khod sakti
jahan par na pani ki raushan jabin thi
na pani tha
main ne kaha tha ki man
mere lohe ki surat pighalne mere murgh ki tarah
TukDon mein taqsim hone ka din aa gaya hai
zamanon talak
tere rone ka
bahnon ke KHamosh hone ka
aur mere ru-posh hone ka din aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.