rudad-e-KHizan
kyoñ Tiis sī dil meñ uThtī hai kyoñ dard se jī ghabrātā hai
pahle to na thā aisā aalam ab dil kyoñ Duubā jaatā hai
chāhat se kisī kī sīkhā thā ġham sahnā aur aañsū piinā
lekin ab to har ashk-e-alam āñkhoñ se Tapak hī jaatā hai
ādāb-e-mohabbat kī ḳhātir rāhat ġham ko samjhe haiñ to phir
kyoñ dil se aah nikaltī hai kyoñ chakkar sā aa jaatā hai
duniyā ham se aa kar sīkhe pābandī-e-rasm-o-rāh-e-vafā
rūdād-e-ḳhizāñ dohrāte haiñ jab zikr-e-bahār aa jaatā hai
ai sharm-e-mohabbat jaag ki ab kuchh der nahīñ rusvā.ī meñ
pinhāñ thā jo dil ke parde meñ vo dard zabāñ tak aatā hai
ai kaash koī us se jā kar ye haal dil-e-barbād kahe
bīmār-e-ġham-e-ulfat terā hai naza.a meñ dam ghabrātā hai
is tarah taḌapne lagtā hai rah rah ke dil 'nāshād' aksar
jaise ki bagūla uThtā hai jaise koī tūfāñ aatā hai
kyon Tis si dil mein uThti hai kyon dard se ji ghabraata hai
pahle to na tha aisa aalam ab dil kyon Duba jata hai
chahat se kisi ki sikha tha gham sahna aur aansu pina
lekin ab to har ashk-e-alam aankhon se Tapak hi jata hai
aadab-e-mohabbat ki KHatir rahat gham ko samjhe hain to phir
kyon dil se aah nikalti hai kyon chakkar sa aa jata hai
duniya hum se aa kar sikhe pabandi-e-rasm-o-rah-e-wafa
rudad-e-KHizan dohraate hain jab zikr-e-bahaar aa jata hai
ai sharm-e-mohabbat jag ki ab kuchh der nahin ruswai mein
pinhan tha jo dil ke parde mein wo dard zaban tak aata hai
ai kash koi us se ja kar ye haal dil-e-barbaad kahe
bimar-e-gham-e-ulfat tera hai naza mein dam ghabraata hai
is tarah taDapne lagta hai rah rah ke dil 'nashad' aksar
jaise ki bagula uThta hai jaise koi tufan aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.