maiñ dāstānoñ meñ kho gayā huuñ
jahāñ pe har aañkh be-muravvat
jahāñ pe har shakl ajnabī hai
jahāñ añdheroñ meñ be-niyāzī
jahāñ ujāloñ meñ be-ruḳhī hai
jahāñ shab-o-roz kā tasalsul
junūñ ko zanjīr ho gayā hai
jahāñ har ik saaz kā tarannum
jahāñ har ik dil hai zaḳhm-ḳhurda
har ek ummīd sar-ba-zānū
har ek ehsās zard-rū hai
na ab mire haath meñ qalam hai
na ab mire lab pe mudda.ā hai
na aarzū hai na kuchh taqāzā
na koī shikva na koī ġham hai
na dard-e-dil hai na chashm-e-nam hai
ye kaisī duniyā meñ qaid huuñ maiñ
ye kin zamānoñ meñ kho gayā huuñ
mire rafīqo mujhe bachāo
talāsh karke kahīñ se laao
vo merī duniyā haqīqatoñ kī
vo merī duniyā sadāqatoñ kī
vo merī yādoñ kī shoḳh duniyā
jo aab kahīñ aur bas rahī hai
use sadā do use bulāo
ki maiñ fasānoñ meñ kho gayā huuñ
maiñ vaqt kī raat kā musāfir
maiñ gor-e-ehsās kā mujāvir
guzishta lamhoñ shikasta chehroñ
bujhe makānoñ meñ kho gayā huuñ
koī mujhe DhūñDne to aa.e
koī mirā khoj to lagā.e
vajūd ke vāhimoñ se pīchhe
adam ke sahrā-e-be-nishāñ meñ
mire taḳhayyul ke zard paikar
jo shahr taḳhlīq kar chuke haiñ
unheñ sañvāre unheñ basā.e
mohabbatoñ se ibādatoñ se
charāġh āñkhoñ kī raushnī se
mire sitāroñ ko jagmagā.e
mirī zamīnoñ ko nuur baḳhshe
hazār-hā chāñd aur sūraj
mirī jabīñ par bujhe hue haiñ
khaḌā huuñ pātāl par azal ke
maiñ āsmānoñ meñ kho gayā huuñ
na maiñ kisī lab pe jhilmilāyā
na maiñ kisī gosh hī meñ utrā
na saf.ha-e-sāda kī jabīñ par
kisī ne muddat se mujh ko likkhā
na mere ma.anī na koī sūrat
na kahne vaale se koī rishta
na sunñe vaale se koī nisbat
huuñ ek harf-e-qadīm goyā
na.ī zabānoñ meñ kho gayā huuñ
ye merī yādoñ ke sard saa.e
ye mere ḳhvāboñ ke zard chehre
rafāqatoñ ke nahīf baazū
adāvatoñ ke shikasta ḳhanjar
guzishta ra.anā.iyoñ ke paikar
purānī rāheñ purāne manzar
maiñ jin bahānoñ se jī rahā thā
unhī bahānoñ meñ kho gayā huuñ
maiñ dāstānoñ meñ kho gayā huuñ
main dastanon mein kho gaya hun
jahan pe har aankh be-murawwat
jahan pe har shakl ajnabi hai
jahan andheron mein be-niyazi
jahan ujalon mein be-ruKHi hai
jahan shab-o-roz ka tasalsul
junun ko zanjir ho gaya hai
jahan har ek saz ka tarannum
jahan har ek dil hai zaKHm-KHurda
har ek ummid sar-ba-zanu
har ek ehsas zard-ru hai
na ab mere hath mein qalam hai
na ab mere lab pe muddaa hai
na aarzu hai na kuchh taqaza
na koi shikwa na koi gham hai
na dard-e-dil hai na chashm-e-nam hai
ye kaisi duniya mein qaid hun main
ye kin zamanon mein kho gaya hun
mere rafiqo mujhe bachao
talash karke kahin se lao
wo meri duniya haqiqaton ki
wo meri duniya sadaqaton ki
wo meri yaadon ki shoKH duniya
jo aab kahin aur bas rahi hai
use sada do use bulao
ki main fasanon mein kho gaya hun
main waqt ki raat ka musafir
main gor-e-ehsas ka mujawir
guzishta lamhon shikasta chehron
bujhe makanon mein kho gaya hun
koi mujhe DhunDne to aae
koi mera khoj to lagae
wajud ke wahimon se pichhe
adam ke sahra-e-be-nishan mein
mere taKHayyul ke zard paikar
jo shahr taKHliq kar chuke hain
unhen sanware unhen basae
mohabbaton se ibaadaton se
charagh aankhon ki raushni se
mere sitaron ko jagmagae
meri zaminon ko nur baKHshe
hazar-ha chand aur suraj
meri jabin par bujhe hue hain
khaDa hun patal par azal ke
main aasmanon mein kho gaya hun
na main kisi lab pe jhilmilaya
na main kisi gosh hi mein utra
na safha-e-sada ki jabin par
kisi ne muddat se mujh ko likkha
na mere mani na koi surat
na kahne wale se koi rishta
na sunne wale se koi nisbat
hun ek harf-e-qadim goya
nai zabanon mein kho gaya hun
ye meri yaadon ke sard sae
ye mere KHwabon ke zard chehre
rafaqaton ke nahif bazu
adawaton ke shikasta KHanjar
guzishta ranaiyon ke paikar
purani rahen purane manzar
main jin bahanon se ji raha tha
unhi bahanon mein kho gaya hun
main dastanon mein kho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.