ruh-e-aziyyat-KHurda
zaḳhmoñ ke ambār, dar-o-dīvār bhī
suune lagte haiñ
ḳhushiyoñ ke dariyā meñ itnī choT lagī
ki ab is meñ chalte rahnā dushvār huā
saḌkoñ par chalte phirte shādāb se chehre suukh ga.e
vo mausam jis ko aanā thaa, vo aa bhī gayā
aur chhā bhī gayā
ashjār ke niile goshoñ se ab zahr sā ristā rahtā hai
gulzār ḳhizāñ ke sho.aloñ meñ har lamha sulagtā rahtā hai
is ḳhvāb-e-pareshāñ meñ kab tak
is rūh-e-aziyyat-ḳhūda ko tum qaid rakhoge
chhoḌ bhī do!
is rūh-e-aziyyat-ḳhūda ko
zaKHmon ke ambar, dar-o-diwar bhi
sune lagte hain
KHushiyon ke dariya mein itni choT lagi
ki ab is mein chalte rahna dushwar hua
saDkon par chalte phirte shadab se chehre sukh gae
wo mausam jis ko aana tha, wo aa bhi gaya
aur chha bhi gaya
ashjar ke nile goshon se ab zahr sa rista rahta hai
gulzar KHizan ke shoalon mein har lamha sulagta rahta hai
is KHwab-e-pareshan mein kab tak
is ruh-e-aziyyat-KHuda ko tum qaid rakhoge
chhoD bhi do!
is ruh-e-aziyyat-KHuda ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.