ruh ka ahd-nama
vo lamha
vo ik lamha-e-narm-o-shīrīñ
ki jab apne āñgan meñ ik phuul mahkā
ki jab tum ne ta.amīr kī apne qadmoñ tale pahlī jannat
ki jab pyaar chhalkātī āñkheñ tumhārī huiiñ āshnā māmtā se
ki jab tum ne ik ḳhūbsūrat sā ā.īna mujh ko diyā thā
ki jab apne hone kā ehsās jaagā thā dil meñ
vahī lamha-e-narm thā
jab badan ke ta.alluq se ham donoñ aage baḌhe the
vahī lamha-e-mo'atabar
jaañ kī vābastagī kī bashārat
vahī lamha-e-mohtaram
ruuh kā ahd-nāma
wo lamha
wo ek lamha-e-narm-o-shirin
ki jab apne aangan mein ek phul mahka
ki jab tum ne tamir ki apne qadmon tale pahli jannat
ki jab pyar chhalkati aankhen tumhaari huin aashna mamta se
ki jab tum ne ek KHubsurat sa aaina mujh ko diya tha
ki jab apne hone ka ehsas jaga tha dil mein
wahi lamha-e-narm tha
jab badan ke talluq se hum donon aage baDhe the
wahi lamha-e-mo'atabar
jaan ki wabastagi ki bashaarat
wahi lamha-e-mohtaram
ruh ka ahd-nama
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.