ruh ka asli wajud
gard se aTī huī
ḳhuun se bharī huī
zaḳhm-ḳhurda aur shikasta-rūh ko
apne baste meñ chhupā.e
kab talak tum rakh sakoge
ḳhvāb-āvar goliyoñ se
tāqat-e-raftār le kar
hosh se āñkheñ bachā kar
kab talak chalte rahoge
ek din to moḌ aisā aa.egā jab
apne baste meñ chhupī ye nā-mukammal ruuh
ḳhuun apnā vajūd
tum se vāpas maañg legī
us ghaḌī tum kyā karoge
kis tarah DhūñD ke lāoge tum
ruuh kā aslī vajūd
gard se aTi hui
KHun se bhari hui
zaKHm-KHurda aur shikasta-ruh ko
apne baste mein chhupae
kab talak tum rakh sakoge
KHwab-awar goliyon se
taqat-e-raftar le kar
hosh se aankhen bacha kar
kab talak chalte rahoge
ek din to moD aisa aaega jab
apne baste mein chhupi ye na-mukammal ruh
KHun apna wajud
tum se wapas mang legi
us ghaDi tum kya karoge
kis tarah DhunD ke laoge tum
ruh ka asli wajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.