sitāre
tū ne dekhī hai fazā saare zamānoñ kī
sune haiñ tū ne
jo pahlī havā ne giit gaa.e the
tujhe ma.alūm hai
tālāb par kab hañs utre the
yahāñ jab nuur thā
aur nuur ke shaffāf saa.e the
tire siine pe raushan hai haqīqat sab fasānoñ kī
kahāñ hai kuchh batā mujh ko
vo malika dāstānoñ kī
kahāñ hai sūfiya vo raushnī un āsmānoñ kī
sitāre
tū ne dekhī hai fazā saare zamānoñ kī
sitare
tu ne dekhi hai faza sare zamanon ki
sune hain tu ne
jo pahli hawa ne git gae the
tujhe malum hai
talab par kab hans utre the
yahan jab nur tha
aur nur ke shaffaf sae the
tere sine pe raushan hai haqiqat sab fasanon ki
kahan hai kuchh bata mujh ko
wo malika dastanon ki
kahan hai sufiya wo raushni un aasmanon ki
sitare
tu ne dekhi hai faza sare zamanon ki
- Book : meyaar (Pg. 76)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.