ruh ki aag
raat tak jism ko uryāñ rakhnā
chāñd niklā to ye sahrā kī sulagtī huī ret
sard ho jā.egī barsāt kī shāmoñ kī tarah
barf ho jā.egā jism
phir ḳhunuk-tāb havā aa.egī
terī peshānī ko chhū jā.egī
aur pasīne kī ye nannhī būñdeñ
ho ke tahlīl fazāoñ meñ bikhar jā.eñgī
ret ke Tīloñ se Takrā.eñgī
ret ke Tiile havāoñ kī namī chāTeñge
ret ke Tīloñ kī tishna-dahanī
aur bhaḌak uTThegī
jab havā dasht se aage niklī
patte patte ko jhulas jā.egī
par jahāñ tū hai vahāñ
sard ho jā.egā zarra zarra
barf ho jā.egā jism
magar ik ruuh kī aag
jis ko barsāt kī shāmoñ ne havā dī barsoñ
chāñd kī zard shuāoñ se bhaḌak uTThegī
raat tak jism ko uryan rakhna
chand nikla to ye sahra ki sulagti hui ret
sard ho jaegi barsat ki shamon ki tarah
barf ho jaega jism
phir KHunuk-tab hawa aaegi
teri peshani ko chhu jaegi
aur pasine ki ye nannhi bunden
ho ke tahlil fazaon mein bikhar jaengi
ret ke Tilon se Takraengi
ret ke Tile hawaon ki nami chaTenge
ret ke Tilon ki tishna-dahani
aur bhaDak uTThegi
jab hawa dasht se aage nikli
patte patte ko jhulas jaegi
par jahan tu hai wahan
sard ho jaega zarra zarra
barf ho jaega jism
magar ek ruh ki aag
jis ko barsat ki shamon ne hawa di barson
chand ki zard shuaon se bhaDak uTThegi
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 634)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.