ruh ki maut
chamak sake jo mirī ziist ke añdhere meñ
vo ik charāġh kisī samt se ubhar na sakā
yahāñ tumhārī nazar se bhī diip jal na sake
yahāñ tumhārā tabassum bhī kaam kar na sakā
lahū ke nāchte dhāre ke sāmne ab tak
dil-o-dimāġh kī bechārgī nahīñ jaatī
junūñ kī raah meñ sab kuchh gañvā diyā lekin
mire shu.ūr kī āvārgī nahīñ jaatī
na jaane kis liye is intihā-e-hiddat par
mirā dimāġh sulagtā hai jal nahīñ jaatā
na jaane kyuuñ har ik ummīd lauT jaane par
mire ḳhayāl kā laavā pighal nahīñ jaatā
na jaane kaun se hoñToñ kā aasrā pā kar
tumhāre hoñT mirī tishnagī ko bhuul ga.e
vahī usuul jo mohkam the narm saa.e meñ
zarā sī dhuup meñ nikle to jhuul jhuul ga.e
chamak sake jo meri zist ke andhere mein
wo ek charagh kisi samt se ubhar na saka
yahan tumhaari nazar se bhi dip jal na sake
yahan tumhaara tabassum bhi kaam kar na saka
lahu ke nachte dhaare ke samne ab tak
dil-o-dimagh ki bechaargi nahin jati
junun ki rah mein sab kuchh ganwa diya lekin
mere shuur ki aawargi nahin jati
na jaane kis liye is intiha-e-hiddat par
mera dimagh sulagta hai jal nahin jata
na jaane kyun har ek ummid lauT jaane par
mere KHayal ka lawa pighal nahin jata
na jaane kaun se honTon ka aasra pa kar
tumhaare honT meri tishnagi ko bhul gae
wahi usul jo mohkam the narm sae mein
zara si dhup mein nikle to jhul jhul gae
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Roshni) (Pg. 70)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.